Saturday, May 07, 2011

Mother's Day Urdu/Hindi Poem

bus ise se jure hue hai.N ham
Gher bohut he bari haqiqat he, 
her ghari is se muttasil hai.N ham
Ham ko gher se bari mohabbat he
 Aur ye gher he maa.O.N ke dam se!

Raghbatai.N aur bhi hai.N dunya mai.N 
In mai.N per wo khoshi nahi.N milti
Jo ke ta umr her ghari keliye
Ham ko zinda-o-shaadmaa.N rakhte

Ye khushi bas he maa.O.N ke dam se!


Gher ke ek mimba-e-musarrat he
gher ke sachchi khushi ka mehwar he
gher mai.N dolat nahi.N tu kya gham he
Gher ka chain-o-sakoon zinda baad
Gher ka aish-o-aaram zinda baad

Gher ki dunya he Maoo.N ki dunya!


Aye mere maa.N tu ye bata mujh ko
Konsi mehnatoo.N ka he ye samar?
Jannattoo.N mai.N na ye sakoo.N ho ga
Jannatoo.N se haseen ter he ye gher 

Aur ye sab he aap ke dam se!

Ye jo charkha chalay he is gher mai.N
Ghomne se ise ke he gardish
Saari dunya ki aasmaanoo.N ki
Is mai.N aati nahi.N koi laghzish

Aur ye sab he aap ke dam se

Dhoo.Nd qadmaoo.N mai.N maa.O.N ke jannat
Dhoop mai.N sir pe un ke ho chaya
Gham rahe door door he un se
Sir pe jin ke ho maa.ON ka saaya
sari khushyaa.N hai.N maa.O.N ke dam se!

Jis ko maa.N ki duaa.E.N hoo.N hasil
Us se qismat ko kiya adawat ho
Aasmaa.N bhi ho meherbaa.N us pe
Paas jis ke tere mohabbat ho
Maa.O.N ke dam se he Jahaa.N roshan

Khalid Jamil Rawat




No comments: