Monday, September 30, 2013

Those who stop others from worshipping their God: An Urdu Poem

Those who stop God's Creation from worshipping him: A poem 

tujh ko samajh na aa saka matalab quraan ka
tu ne badal ke rakh diya mazhab quraan ka

her rooz maarta he kahin na kahin tu bum
ab tang aa chuke hain tere kaj ravi se ham

her rooz kya hazaar ha bandoon ko maar ker?
jannat mile gi zulm ki sarhad ko paar ker?

aanso baha baha ke khuda ke huzoor tu
kerta he us ke khalq ka daman laho laho

karte nahin hain zulm kabhi talibaan e haq
kehti nahin he jhoot kabhi bhi zabaan-e-haq

ab kya kare ga zulm tu mazhab ke naam per?
ghairat ko din ki na tu aise nilaam ker!

allah ka he hukm larai ke darmiyaan
bachoon ko aurtoon ko mile jaan ki amaan

jayez nahin he jang main bachoon ko marna
jayez nahin he maoon ki izzat utarna

tujh ko naheen he paas zara bhi quraan ka?
tu ban gaya he ummati changaiz khan ka?|

ahle kitaab bethe the allah ke huzoor
bum maar ke uraya kyoon? kya un ka tha qusoor?

tere siwa kisi ko haq-e-bandagi nahin?
sajda khuda ko kerne ke qabil koi nahin?

sajda khuda ko kerne ke paband hain sabhi
Maalik wohi jahaan ka khaliq bhi he wohi

pather bhi sajda raiz he allah ke huzoor
kerte hain janwar bhi khuda ki sanaa zaroor

bum patharoon ko maar, bum janwar ko maar
sajda khuda ko jo bhi kare us pe ker tu waar!

kerta he zarra zarra yaan sajda jahan ka
ye haq nahin jahan main faqat talibaan ka

by

Khalid Jamil Rawat

Wednesday, September 18, 2013

Ek Nazm

A poem:

Aage toofan ki musafat he
aur hathoon main zindagi ka diya!

kaise guzrain ge is musafat se?
bujh he jaye na zindagi ka diya!

per hamai.N zindagi guzarne ki
na koi fikr na pareeshaani!

kon jungle main sher ke der se
ghaans charne se baaz rehta he!
kya kabootar uqaab ke der se
dane dunke se door rehta he?

Ham ne maana ke zindagi ka diya
zad pe he tund kho hawaoo.N ke
khoof-e-toofaan ab nahin ham ko
aur na bijliyoon ka khadsha he!
ham ko aage he barhte rehna he!
ham ko aage he barhte rehna he!
By : Khalid Jamil Rawat

Talibaan

Poem: Talibaan

Tehreek-e-talibaan Pakistan kon he?
Tehreek-e-talibaan Pakistan, Fouj he!

Tehreek-e-talibaan se kyon ker lare ge fouj?
Tehreek-e-talibaan ki dushman nahin he fouj!
Tehreek-e-talibaan ki he sarparast fouj!
hain jism talibaan mager rooh fouj hey-

Tehreek-e-talibaan hey qabiz sawaat per
Aur hukm-e-talibaan he nafiz sawaat per
Ab dekhiye jaata he ye qabza kahaan kahaan!

Darne ki kya he baat ye apni he fouj he!

kehne ko talibaan hain lekin khuda gawaah!
Pardey main talibaan ke apne he fouj he

By: Khalid Jamil Rawat