Tuesday, November 06, 2012

baqoole Pervaiz

Baqool-E-Pervaiz: ( According to Mr. Pervaiz)

Main azaad tha jab talak, khush bhi tha

mutmain tha , fasurda na tha,

Mere qehqahe se ulajh ker
takabbur ka pooda , diloo.N ke zamee.N chor deta-

Mager ab wo shokhi, khushi mujh mai.N baaqi nahi.N he!

Ke ab mai.N wo pehle sa pervaiz kab hoo.N?

maeeshat ki fikroo.N ne mujh se mere khush dili cheen le,

mai.N ho ke pareshaa.N maeeshat ke hathoo.N

Laga nookri per!

Mujhe ab wo fikr-e-maeeshat nahin he
mager mere aazaadiyaaN salb sab ho chuki haiN,

Sahi ko sahi , aur ghalat ko ghalat!
MaiN nahi.N bool Sakta,
Ke office mai.N is ke ijaazat nahin he!
Mere qeqahe munqata ho chuke haiN
Ke office main hansna mana he!
Isi waste mere rooshan khyaali
Siyaahi maiN dhalne lage he!

By : khalid Jamil Rawat