Monday, December 13, 2010

dunya

Parsai ke libade mai.N tu ruswa nikli
Kiya mai.N samjha tujhe dunya tu mager kiya nikli

Vaishya tujh se tu kutya ka chalan achcha he
tu tu kutya se bhi dunya bari kutya nikli

be wafa husn tera parda-e-ruswai tha
tu tu kothe ki tawaif se bhi ruswa nikli

ham ye samjhe he tera dil tere soorat se haseei.N
koila kiya he jo ander se tu dunya nikli

Dekh le ger che tere shakl-e-haqiqi ham ne
phir bhi sene se tere chah na dunya nikli

ik dafa saath diya tha mera dunya tu ne
phir kabhi saath nibhane tu mera na nikli

Friday, November 19, 2010

Abhi bhi Jism Mai.N thori si jaan baqi he


Abhi bhi jism mai.N thori si jaan baaqi he
Abhi wafa ka koi imtihaan baqi he

guzaar dee.N kai sadyaa.N mager tamanna mai.N
jo aan roz-e-azal thi , wo aan baaqi he

asser-e-zulf hue per awaargi na gae
Faqeer ho ke bhi shahoo.N ki Shaan baqi He

bhara jo zakhm, tu samjha chute, mager ye khula
Abhi bhi zakhm ka dil pe nishaan baqi he

Abhi se ishq mai.N duniya se dil hua khatta
abhi tu dekhna sara jahan baqi he

By Khalid Jamil Rawat



Friday, February 05, 2010

ghazal

Wo he ghafil use aagahiye halaat nahi.N
Us ko cho loo.N bhi tu darne ki koi baat nahi.N

Na rahi haath kabhi ishq ki baazi apne
Chaal chalne ki kasar the ke hui maat nahi.N

Naik wo Hain jo tere bazm mai.N aa sakte hai.N
Wo kamine hai.N jinhai.N shirfe mulaqat nahi.N

Darte darte he sahi pene chala jata hoo.N
Kon kehta he ke mai.N rind-e-kharabaat nahi.N

Khalid Jamil Rawat