Wednesday, July 30, 2008

death

Zindagi ki moot manzil, moot he asl-e-wajood
Moot he sab ka muqaddar , moot he he hast-o-bood

Moot ne afsha kiya raaz-e-hayat-e-baad-e-moot
Yaad reh jati he dil mai.N , khatm hota he wajood

Moot ki janib he jati he her ik rah-e-hayat
Moot ki had mai.N hai.N goya zindagani ki hadood

Zindagani ke tarazo mai.N bawajh-e-baar-e-moot
Kawaishai.N be wazn hai.N sab zindagi ki misl-e-dood

Moot se bach ker koi bhi jaa nahi.N sakta yaha.N
Moot he dene ko kerta he chaman gul ki namood

By Khalid Jamil Rawat

Saturday, March 22, 2008

SANAM KADE KI TARAF DIL BULA RAHA HE MUJHE
MAGER KHAYAAL-E-KHUDA BHI SATA RAHA HE MUJHE

KHUDA PARAST RAHOO.N YA SANAM PARAST BANOO.N
TAMAM UMR YEHI MAKHMASA RAHA HE MUJHE

SUNOO.N MAI.N BAAT JO DIL KE,TU KIYA KAROO.N TERA
TERA KHAYAAL BHI REH , REH KE AA RAHA HE MUJHE

WAJOOD QATRA-E-MUFRID BANA RA HE MUJHE
UDHER YE BEHR MUSALSAL BULA RAHA HE MUJHE

SAMAJH RAHA THA ISHAARA CHAMAN SE HE AAYA
KHABER NAHI.N THI KE MAQTAL BULA RAHA HE MUJHE

KHALID JAMIL RAWAT

GHAZAL

CHUTA JUNOON SE PECHA KHUDA KHUDA KER KE
THIKAANE HOOSH YE AAYA KHUDA KHUDA KER KE

TAWEEL ROOZ JO HAYAL THA WASL MAI.N TERE
TAWEEL ROOZ WO GUZRA KHUDA KHUDA KER KE

TUMHARE WASL MAI.N HAYAL THE HER QADAM MUSHKIL
QADAM SE RAASTA NIKLA KHUDA KHUDA KER KE

HAMARE SIR KO KHIRAD SE BOHUT SHIKAYAT THE
SO SIR SE BOOJH YE UTRA KHUDA KHUDA KER KE

JABEE.N SE SHIKN-E-JUNOO.N MIT GAE HE SAJDOO.N SE
GAYA HE AIB YE SIR KA KHUDA KHUDA KER KE

KHALID JAMIL RAWAT
SAAMNE BUT HAI.N MERE PAICHE KHUDA KA GHER HE
TOOT JAYE NA KAHI.N EHD-E-WAFA!YE DAR HE

JAB SE NIKLA HE MERA SAYA MERE QADMOO.N SE
NA MUJHE KHOOF KISI KA NA KISI KA DAR HE

SAAF KHULTA HE NAHI.N MUJH PE MERE SIR KE TAEE.N
AIK ULJHAN HE YE KANDHOO.N PE MERE YA SIR HE?

AAJ LAAYA HOO.N TERE SHEHR MAI.N MAI.N JINSE WAFA
JIS KI QEEMAT NA YE MATTI HE NA SEM-O-ZER HE

AASMAANOO.N PE KAMAND DAAL RAHA HOO.N GER CHE
NA KOI BAAL BADAN PER HE MERE NA PER HE

CHAAK-E-DAAMAN YE NAHI.N CHAAK-E-JIGAR HE PIYAARE
AA.NSUOO.N SE HE KHAHA.N AANKH LAHOO SE TER HE

KIS QADAR BAND MAKAA.N MUJH KO MILA HE JIS MAI.N
NA KOI DARZ , NA ROOZAN HE KOI, NA DER HE

APNI QISMAT KE SITARE SE GILA HE MUJH KO
IS KI GARDISH SE MERA HAAL BOHUT ABTER HE

KHALID JAMIL RAWAT


BANAYA HE JAHAA.N WALOO.N NE PAISE KO KHUDA APNA
YEHI MARKAZ HE HASTI KA , YEHI HE KIBRIYA APNA

BANANE KO KHUDA HAM KO FAQAT PAISA NAZAR AAYA?
YEHI DHONDA THA KIYA HAM NE? YEHI THA FAISLA APNA?

ILAAWA MAL-O-DOULAT KE YAHA.N PE AUR BHI RAB HAI.N
UTHAO SHIRK KI LAZZAT BADAL DO FAISLA AA APNA

HUNAR MABOOD HE LOGOO.N YAHA.N HE ILM BHI MABOOD
FAQAT LAAL-O-ZAMARRUD SE NAHI.N HE WASTA APNA

YAHA.N PE ADL-O-NAIKI BHI SAZAWAAR-E-KHUDAI HAI.N
FAQAT GANJ-E-JAWAHAR HI NAHI.N MUDDU'A APNA

SALIQA BHI KHUDAI HE MAHARAT BHI KHUDAI HE
INHAI.N BHI SAATH PAISE KE BANA LO DEVTA APNA

JAWAA.N MARDI KHUDAI HE , MUHABBAT BHI RAFAQAT BHI
INHAI.N BHI SAATH PAISE KE BANAO REHNUMA APNA

BOHUT HAI.N WASF-E-MOLAI ILAWAA MAAL-O-DOULAT KE
SABHI KO TUM KHUDA SAMJHO RAKHO NA IK KHUDA APNA

KHUDAOO.N KO NA MAANO GE SIWA PAISE KE PHIR KAISE
HASAD SE SAB KHUDAOO.N KI BACHAO GE KHUDA APNA?

KHALID JAMIL RAWAT

GHAZAL

KHAYAL-O-KHAAB KI DUNIYA MAI.N SAATH CHALTE HO
HAQIQATOO.N MAI.N MAGER DOOR DOOR REHTE HO

TASAWWUROO.N MAI.N MERE TUM MERA MUQADDAR HO
PER AA KE SAAMNE KIYOO.N AJNABI SE LAGTE HO

ISE LIYE TU TABIYAT HE MUNTASHIR MERI
BASE HO DIL MAI.N MAGAR PHIR BHI DOOR REHTE HO

TUMHARE LAFZ SAJATE HAI.N MERI TANHAI
MAGER HU SAAMNE TU GUFTUGO SE DARTE HO

MERE KHAYAAL MAI.N MERE LIYE HE HO ZINDA
MAGER YE KIYA KE KISI AUR PE BHI MARTE HO?

HAMARE QATL KO IS AAENE SE KIYOO.N JANAA.N
HER AIK ROOZ NAYA SAAZ BAAZ KERTE HO?

DIKHAE DETE HO HER RAAT KHAAB MAI.N MUJH KO
KHULI HOO AANKH TU NAZROO.N SE DOOR REHTE HO

KHALID JAMIL RAWAT

nazm

AYE MERE MAA.N ZARA BATA MUJH KO
KIS LIYE TUJH KO DOOSTOO.N SE MERE
KHAAS KER WO JO MUJH SE AAGE HAI.N,
EK BE NAAM SE ADAWAT HE?
TERE AHSAAS KO HUA KIYA HE?
TERE MAMTA KA MAAJRA KIYA HE

ghazals

Kat ti ye raat khoob jo milti hamai.N sharaab
saaqi ke badle raat ko aata na ye azaab

Gaate wo geet jo ke bune the bahaar mai.N
Barbat ko cherte kabhi ham cherte rabaab

Betho abhi tu raat ke baqi hai.n kuch peher
Thehro abhi firaaq ke kerne hai.N sab hisaab

Guzraa ye waqt loot ker aaya na phir kabhi
abtak khula he maikada le aao kuch sharaab

2-

JAISE YAKH BASTA HAWA HO KE THITER JAATI HE
WAISE YE AA.NKH TERE RUKH PE THEHER JAATI HE

AYE MERI JAAN BATA DE KE SAKOO.N KO MERE
MERI NAZROO.N SE LIYE DOOR KIDHER JATI HE

WO TU KERTA HE MEHEZ GUFTUGO AAENE SE
AUR TA HADD-E-NAZAR MERI NAZAR JAATI HE

SIR PATAKNE SE JUNOO.N SIR SE UTER JAATA HE
ROOTE REHNE SE TABIYAT BHI THEHER JAATI HE

LAMBI PALKOO.N KO UTHA KER NA MUJHE YOO.N DEKHO
NOOK PALKOO.N KI MERE DIL MAI.N UTER JAATI HE

HO RAHO KHUSH KE JO BIKHRI THE KHIZAA.N MAI.N KHUSHBOO
AAJ LENE KO HAWA US KI KHABER JAATI HE

BEECH MANJDHAAR KE WO SAATH CHALE GE KAISE
WO TU TOOFAAN KI AAHAT SE BHI DAR JAATI HE

SAATH DENE KO TERA SAATH CHALE THE TERE
KAB YE SOOCHA THA KAHA.N KO YE DAGER JAATI HE

SAAMNE AA KE TERE PUR KASHISH NIGAHOO.N KE
TOOTI MALAA SI MERI ZAAT BIKHAR JAATI HE

MUJH KO HER GIZ NA KHABER THE KE CHALA THA JIS PER
THI WOHI RAAH JO US HUSN KE GHAR JAATI HE

KHALID JAMIL RAWAT

3-


TUM KO TEHWAAR MANANA HI NAHI.N AATA HE
KHUD KO AAZAAD KARANA HI NAHI.N AATA HE

SHOOQ BEBAAK NA HO EID PE TU MATLAB YE HE
EID KE DIN KO MANANA HI NAHI.N AATA HE

EID KE DIN BHI JO TORE NA KOI RASME KUHAN
US KO RASMOO.N KO NIBHANA HI NAHI.N AATA HE

CHAK-E-DAAMAN SE GURAIZAA.N HE JO TEHWAAR KE DIN
US KO WESHAT SE BARATNA HE NAHI.N AATA HE

KIA MANAE GA BHALA JASHN-E-BAHARAA.N KE JISE
KHUD KO DEWAANA BANANA HE NAHI.N AATA HE

EID KE DIN BHI JO DEDAAR NA DE AASHIQ KO
US KO DEWAANA BANANA HI NAHI.N AATA HE

ISHQ KE BOOJH TALE SAA.NS BHALA KIA LEGA
JIS KO ILZAAM UTHANE HE NAHI.N AATA HE

KIYA BAKHERE GA WO MOTI KISI KI RAAHOO.N MAI.N
TOOT KE JIS KO BIKHARNA HE NAHI.N AATA HE

PAO.N MANZIL PER POHANCH KER BHI NA DOLAI.N JIS KE
US KO MANZIL PE POHANCHNA HI NAHI.N AATA HE

AAENA DEKH KE APNE PE JISE RASHK NA HO
US HASINA KO SA.NWARNA HE NAHI.N AATA HE

AAINA DEKH KE SHSHDAR WO HUE HAI.N AISE
JAISE PALKOO.N KO JHAPAKNA HI NAHI.N AATA HE

JIS NE SEKHA HE YAHAA.N DARS-E-TAYAQQUN US KO
SOOCHNA AUR SAMAJHNA HI NAHI.N AATA HE

PHOOL BAN KER NA SAJE SHAKH-E-BADAN PER JIS KI
US KO POSHAAK PEHENNA HI NAHI.N AATA HE

SHER KEHNA TU MERI JAAN RAHI DOOR KI BAAT
MUJH KO TU BAAT BANANA BHI NAHI.N AATA HE

KHALID JAMIL RAWAT

Friday, February 15, 2008

Aadmi naama

He aadmi he ishq yahaa.N aadmi khirad
Her shay ki aadmi he yahaa.N baandhta he had

Kerta he aadmi he yahaa.N aadmi ko rad
He aadmi he sail yahaa.N aadmi he zad

He mehw-e-fikr-e-farda-o-mashghool-e-fik-e-doosh
Bheta he aadmi he yahaa.N kho ke apne hoosh

He aadmi zawaal yahaa.N aadmi kamaal
He aadmi he ain yahaa.N aadmi misaal

He aadmi imaan yahaa.N aadmi yaqeen
He aadmi he raah roo aur aadmi he din

He aadmi he raanda-e-darbar-e-aizdi
He aadmi he jada-e-darbar-e-aizdi

He aadmi umeed yahaa.N aadmi he yaas
He aadmi he aks yahaa.N aadmi akaas

He aadmi he naafa-e-aaho-o-naqsh-e-paa
He aadmi he naaqis-o-kaamil ka raahnuma

He aadmi makeen yahaa.N aadmi makaan
Manzil bhi aadmi he yahaa.N aadmi nishaan

He aadmi he peer yahaa.N aadmi Mureed
Manzar bhi aadmi he yahaa.N aadmi he deed

He aadmi he geet yahaa.N aadmi he saaz
Seene mai.N kainaat ke he aadmi he raaz

Kerta he aadmi he yahaa.N aadmi pe raaj
He aadmi he takht yahaa.N aadmi he taaj

Aage khud apne aap se barhta he aadmi
Shanoo.N pe apne pair bhi rakhta he aadmi

Leta he apne aap se bahar ki bhi khaber
Rakhta he apni zaat pe bhi aadmi nazar

Masnad bhi aadmi he yahaa.N aadmi sanad
Kerta he aadmi he yahaa.N aadmi ko rad

Khalid Jamil Rawat

ghazal

Noor ko zulmat-e-shab , shab ko charaaghaa.N bolai.N
Aur ji chahe tu zarre ko bayabaa.N bolai.N
Laal-o-gohar ko kabhi sang-e-faro maya kahai.N
aam pather ko kabhi laal-e-0badakhshaa.N bolai.N

Us ki aankhoo.N ko kabhi deeda-e-akhtar keh dai.N
Aur chahai.N tu unhai.N chashm-e-ghazalaa.N bolai.N
Jis ki qeemat he na ho us ki laga dai.N qeemat
Besh qeemat ko ager chahai.N tu arzaa.N bolai.N
Boldai.N bazm-e-charaaghaa.N ko kabhi weshat-e-shab
Dasht-e-wehshat ko kabhi bazm-e-charaaghaa.N bolai.N
Phool ko khar kahai.N ,khaar ko gulshan keh dai.N
Aur phir fasl-e-khizaa.N ko bhi baharaa.N bolain
Rafaatoo.N ko bhi kabhi qaar-e-muzallat keh dai.N
Tooti khatya ko kabhi masnad-e-shahaa.N bolai.N
Wadi-e-laala-o-gul ko bhi bayaabaa.N keh dai.N
Aaap chahai.N tu kharaabe ko gulistaan bolai.N
App taryaaq ko bhi zehr-e-hala hal bolai.N
Harf-e-shiree.N ko namak, dard ko darmaa.N bolai.N
Harf-e-aaghaaz ko anjaam-e-fasaana bolai.N
Harf-e-aakhir ko kabhi baab ka unwaa.N bolai.N
Dastaras mai.N jo na ho us ko kahai.N kunj-e-qafas
Jis pe bhete hoo.N use takht-e-sulaimaa.N bolai.N
Jo kabhi mil na sake us ko na kuch bhi kahiye
Jo mile us ko pari ro, shah-e-khoobaa.N bolai.N
Khalid jamil Rawat
ager che paas mere kuch nahi.N he pene ko
Mager ye piyaas bhi kaafi he aaj jene ko

He piyaas mai.N bhi maza jaam ke baraber ka
Jo jaam-e-tishnagi mujh ko mila he pene ko

Bata de mujh ko aye saaqi kiya he kya mai.N ne
Jo ek ghoo.Nt bhi milta nahi.N he pene ko

Raha na paas tujhe mai kashi ka aye saaqi
Hua he aaj bhala kya tere qarene ko

Ye soochta hoo.N chala jaoo.N dasht ki janab
Kahaa.N se laoo.N jigar is tarah ke jene ko

Sana khuwaan rahe ga tere sakhawat ka
Bachi kuchi he tu de de jo is kamine ko

Khalid Jamil Rawat
Mujhe phir yaad aate hai.N mere bichre hue saathi
Lahoo mujh ko rulate hai.N mere bichre hue saathi

Mere takleef se hoti the un ko jo pareshaani
Usi ke yaad laate hai.N mere bichre hue saathi

Usi mehfil mai.N jis ki yaad se mujh ko muhabbat he
Abhi bhi khench late hai.N mere bichre hue saathi

Shanaasa haal se mere wo mujh se bhi zayaada hai.N
Mujhe khud se milate hai.N mere bichre hue saathi

Unhai.N shamo-sahar mai.N bhi hamesha yaad rakhta hoo.N
Mujhe kab bhool pate hai.N mere bichre hue saathi

Bula leta hoo.N akser khaab mai.N maazi ki yaadoo.N
koMujhe jab yaad aate hai.N mere bichre hue saathi

Kabhi jo neend aa jaye tu khaboo.N mai.N mere aaker
Mujhe pehroo.N sulate hai.N mere bichre hue saathi

Khalid Jamil Rawat

Ghazals

Wo jo khamoosh sar-e-bazm-e-jahaa.N hota he
Us ke seene mai.N koi raaz nihaa.N hota he

Bazm-e-imkaa.N he nihaa.N gard-e-tajarbaat mai.N yoo.N
Jis tarah dasht pas-e-gard nihaa.N hoota he

Jhoot lagti he sara ser ye haqeeqat mujh ko
Mujh ko imkaa.N pe haqeeqat ka gumaa.N hota he

Sath-e-aaena se chat jay ager gard-e-yaqee.N
Tab he aaene pe imkaan ayaa.N hota he

Na ho paband-e-riwayat ye zabaa.N tab mumkin
Dasht-e-imkaan ki wusaat ka bayaa.N hota he

Jo ho mehdood nazar hadd-e-yaqee.N ke ander
Dasht-e-imkaa.N se use rabt kahaa.N hota he

Jis tarah gard-e-tayyaqqun mai.N haqaiq hai.N yahaa.N
Kiya koi gard mai.N aise bhi nihaa.N hota he?

Saaf khulta he nahi.N dil p eke ab kiya hooga
Aik khatka sa mager dil ko yahaa.N hota he

Jab ye ahssas –e-zayaa.N had se guzar jaata he
Aik ahsaas naya dil mai.N jawaa.N hota he

Kiyoo.N bharose pe tajerbe ke dawa kerte ho
Mujh se pooch tu sahi dard kahaa.N hota he

2-
Ye khaber nahi.N aye tamaashbee.N tera zawiya-e-nazar he kiya
Tere aa.Nkh ka he hadaf jahaa.N ,mere saadgi ko khaber he kiya

Tu parakh raha he mera wajood, tere aa.Nkh chahe jahaa.N pare
So jahaa.N tere ye nazar he ab, mujhe kiya khaber ke udher he kiya

Tere aa.Nkh mai.N jo he hurriyat , mere aagahi se baeed he
Tu tatoolta he kahaa.N mujhe mere aagahi ko khaber he kiya

Mere aa.Nkh jism mai.N dhondti , mere haath us ko tatoolte
Tere fatihaana nigah se hua aaj zer-o-zaber he kiya

Kiya jaise mujh ko he muntashir tere tere zawiya-e-nigah ne
Ye bata ke tere shaoor ko mere saadgi se hazar he kiya


3-
Yaqee.N ka boojh kamar per jo laadta he yahaa.N
Wo aap apne kamar ko he torta he yahaa.N

Tagaeyyuraat mere ilm ke haqeeqat hai.N
Her aik shay ka tasawwur badal chukka he yahaa.N

Abas laga he gumaa.N ke yaqeen hone se
Hua he job hi abhi tak jo ho raha he yahaa.N

Nahee.N hua he abhi jo usi ke he dunyaa
Jo ho chukka he use koon poochta he yahaa.N

Gumaa.N yaqee.N he yaqee.N aik khota sikka he
Gumaa.N ke haath yaqee.N qadr kho chukka he yahaa.N

Abhi jo he wo kabhi hoga ke nahi.N hoga
Yahaa.N pe he , ke nahi.N he , jo dikh raha he yahaa.N?

4-

Ishq ke jitney bhe anjaam yahaa.N mumkin the
Ho chuke dil pe jo alhaam yahaa.N mumkin the

Khul gaye dil pe mere ishq ke andaishoo.N mai.N
Jitne aaghaaz ke anjaam yahaa.N mumkin the

Dil tera per na mila gerche sabhi ker dekhe
Baab mai.N ishq ke jo kaam yahaa.N mumkin the

Aao veerana-e-hasti ko munawwar ker lai.N
Kab bhala aise subh-o- shaam yahaa.N mumkin the

Chorna na tha dar-e-yaar ko her giz tujh ko
Milne us shookh ke paighaam yahaa.N mumkin the

Husn tera jo yahaa.N aam kabhi ho jaata
Hone dastor-e-wafa aam yahaa.N mumkin the

Ho ka aalam he yahaa.N dil mai.N mere charoo.N taraf
Mit gaye mitne jo abhaam yahaa.N mumkin the



5-

Sawaal ye tu nahi.N he kya haqiqat he
Sawaal ye he ke kiya sah ki koi qeemat he

Guzar raha jo mujh per wohi he rooz-e-hisaab
Theher gae he jo dil per wohi qayamaat he

Sae mai.n jis ki guzar jaye faisle ki ghari
Wo ilm ilm nahi.N he mehez himaaqat he

Badan faraib tha so khak ho gaya jal ker
Sharar-e-ishq haqiqat tha? So salamat he?

Jaha.N se maawra bhi koi zaat he ke nahi.N
Ye jaanne ke hamai.N kiya koi zaroorat he?

Qaraar shoal-e-ulfat ne dil mai.N he pakra
Pighalti shamma ke jaise badan ki haalat he

Tu apne aap ke jalne ka khud tamaasha ker
Yahaa.N pe tujh ko mehez itni he ijaazat he

Ye lag saath mere khud ko bhi mita de ge
Ke is ko naam se hasti ke he adawaat he

Jo dikh rahe he wohi he haqeeqat-e-mutliq
Jo saamne he mere bas wohi sadaqat he

6
Sitam ke baa dab ik aur he sitam aage
Ye dekhiye ke he saaman kiya baham aage

Yaqee.N ki had mai.N ager hal ye masaala hota
Yaqee.N ki had se guzarta na ye qadam aage

Dikhe ge is mai.N bhala kab mujhe koi surat
Rakha he aap ne jo la ke jam-e-jam aage

Nahi.N karoo.N ga mai.N toba kabhi gunahoo.N se
Ghuta he toba bhi kerne se mera dam aage

Bahaao.N ashk-e-nidamat mai.N kiyoo.N nigahoo.N se
Hua he faida is ka bhi mujh ko kam aage