Wednesday, August 21, 2019

ghazal

Ghazal:
hain Izzatain watan ki jinhoon ne utaaryaan
Ruj ruj ke un ko aasmaa.N deta hoon galiyaan
Aaamar ho ya ke ho koi jamhooriyat nawaz
Is mulk ki sabhoon ne hain ruj ruj ke maariyaan
shoor o shughaf se bhi kahin aata he Inqalaab!
sunta he aasmaan faqat aaho zaariyaan!
Paise nahin paas mager he maqam e shukr
chalti hain main kade main bhi apni udhaariyaan
Kehne se jhoot hey mujhe nafrat bala ke yaar
ger che hazaar baar he dunya ne phaaryaan
sair e chaman ko aaj phir nikle hain pe ke mae
yaroon guloon se khaas yaan apni hain yariyaan
Khalid Jamil Naam he badnaam chaar so
jaane hain tujh ko loog karachi ta Khariyaan
Khalid Jamil Rawat

Tuesday, August 13, 2019

freedom

Great thinker and philosopher Friedrich Nietzsche described freedom as a two step process. One gets freedom from a bondage and moves towards an aim. Freedom in itself is not worthwhile:it is the aim towards which one moves after setting oneself free, that makes freedom important.
So what is the aim for which we Pakistanis won freedom? What we have as an aim? and if we do not have an aim, what is the worth of our freedom?
The moment I decided to Set myself free
I felt the weight of chains more than ever
on my feet. I , in fact for the first time, and
also for the last time, found those chains so heavy.
But the beauty of my aim was overwhelming,
...So, I shattered the chains and ran towards my aim,
Dancing and singing, though the dangers in my life,
Increased a thousandfold .
Khalid jamil Rawat

ashaar

Dil ki majbooriyaa.N hai.N apni jagahPait Sahab ki apni majboori

Un ko bhaata he koocha e janaa.NIn ko derkaar bas he do rooti

ashaar

is khaak e arz e paak ko Jannat Pukaariyo
Sab haariyo jahaan main himmat na haariyo

Sajid raha hoon jaan ne jahaan der pe aap ke
Kehta he dil ke ab yahin jaa.N ko bhi wariyoo

Tuesday, August 06, 2019

ashaar

Dekha jo kainaat ka daman phata hua
Dil ne khuda ke naam ka taanka laga diya
Zahir hua jo chaak e garaibaan e kainaat
Sui ne dil ki ishq ke dhaaga se si diya

hamd

Hamd
Wo shamma jis ke noor se rooshan he kainat
Taroo.N ke karwaan ki manzil he us ki zaat
Aflaak ki tahoo.N main ik Heera he dostoon
Gehna saki na jis ki kashish mooj e haadsaat
Qazzaq e aql ne ise thama nahin kabhi
Is Durr e bemisaal tak pohonche na us ke haat
Us ganj e be hudood ki he justujo tumhain
Paane ko jis ko kam he bohut arsa e hayat
parde main apne zaat ke bethe ho chup chupa
sunte nahin guzarishain, kerte nahin ho baat?
Paana he ger khuda ko tu dil main talash ker
kion ke nigaah e dil pe ayaa.N he khuda ki zaat!
Khalid Rawat

Thursday, June 06, 2019

azad nazm

"ڈاکیہ ڈاک لایا " ایک آزاد نظم:

عجب ڈاکیہ ہے !
عجب ایک گمنام چٹھی سنبھالے ،
سڑک در سڑک مثل- پُرزاۓ کاغذ سدا گھومتا ہے ،
یہ چٹھی کے جس پہ  اتا نہ پتہ ہے،
نہ مضمون کوئی ، نہ  اسم - مبارک ،
کسے کھوجتا ہے؟
فرستادہ کس کا ؟ ہے کس کا ملازم ؟
جہنم سے آیا فرشتہ ہے کوئی ؟
یا جنات کا یہ کوئی ماجرا ہے ؟
کسے کیا خبر ہے ! عجب ڈاکیہ ہے!
نظر ہر کسی سے الجہتی ہے اس کی ،
تکلم سے عاری تبسم سے عاری ،
بہت خون آ شام نظریں ہیں اس کی،
"نگاہیں ملیں تو بدن خوف کی سرد لہروں سے جل کر بھڑکنے لگے !"
نہیں ہے کوئی اسلحہ پاس اس کے ،
مگر اس کی گمنام چٹھی کے ڈر سے لہو خشک سب کا !
دریچاؤ در کو  نگاہ - معیّن سے اپنی کبھی بھانپتا ہے تو لگتا ہے شاید ،
" کوئی سرو ئیر ہے ،  تجاوز زدہ ان مکانوں کو ڈھانے،
انہیں توڑ کر پھر دوبارہ بنانے ، یا بجلی کے کنڈے ہٹانے ،
کہیں سے ہے آیا !

سبھی لوگ ڈرتے ہیں اس سے کہیں یہ  انھیں ہی نہ گمنام چٹھی تھما دے !
" کہیں کوئی مضمون  "ہارر " کا لکھ کر ، ہمارا پتہ اس پہ  تحریر کر کے ،
ہمیں ہی نہ آخر کو چٹھی تھما دے -"
سبھی خوف سے اس کے سہمے ہوئے ہیں !
شکایات بھی اس کی کریں کس سے جا کر ؟

کسی بھی حکومت کا نہ یہ ملازم،
کسی شہر کا بھی یہ شہری  نہیں ہے،
یہ کوئی نہیں ہے ، مگر قریہ قریہ ،

عجب ایک بینام چٹھی  لئے یہ سدا گھومتا ہے !

کہا ایک عورت نے ، " قل پڑھ کے پھونکو،
کہ شاید کہیں یہ موا  ٹل  ہی جاۓ -"
کلام - مبارک کی آیت سے شاید
بلا ٹل ہی جائے - مگر اس موے پر اثر کچھ نہیں ہے-
نگاہ - معیّن سے اپنی ، دریچاؤ  در کو کھڑا بھانپتا ہے -
وہ چٹھی ابھی بھی ہے ہاتھوں میں اس کے ،
خبر  کچھ نہیں ہے کہ کس کو ملے گی!

خالد راوت
 


ghazal

Ghazal der ghazal e Insha ullah khan aur hazrat Faraz!

"Saans dekhi tan e bismil se jo aate jaate
Aur chirka diya jallad ne jaate jaate"

Main bhi betha tha wahaan aap ki mehfil main sanam?
Ik zara daikh he leete mujhe jaate jaate !

rasme ulfat bhi nibhaane se hamain rook diya
werna aye jaan e jahaa.N jaan lutaate jaate!

Aap ki aankh ishaare tu bohut kerte the
kaash ham se bhi sanam aankh laraate jaate!

phir wohi ishq ki zillat, wohi shuhrat hoti!
Misl e Shamma jo sanam ham ko jalaate jaate!

Khalid Rawat!

ghazal

Ghazal in the "Zamin" of Hazrat Mir Taqi Mir!

"Mir darya he suno sher zabaani uski
Allah Allah re Tabiyat ki Rawaani uski"

Kho gae bheer main dunya ki tumhain yaad bhi he?
Khaak e ulfat main ati "Jeans Puraani us ki"!

Haaye wo ishq ki ratain wo shaboo rooz ka dard
Haaye wo shookh nigahain wo Jawaani us ki!

aaj betha he tere der pe luta ker khud ko
sun tu le jaa ke zara us se kahaani us ki!

khalid !

ghazal

Ghazal: 
Ye baat kitni khob he jaam e sharaab main!
Gardish se is ki umr lage naqsh aab main!

Aata nahin he sabr ke daman ko thaamna?
Dikhta nahin he aap ko kaanta gulaab main?

hote hain kitne kaam yaan kia kia bataon main?
fikr e wisaal e yaar rakhoon ger hisaab main!

Dhondo usi nazar main jahaan gum hue the aap!
Nahaq talaash kerte ho khud ko kitaab main!

Us zindagi ko aankh bher dekha tha aik roz!
Wo din gaya ke aaj tak jaan he azaab main!

Apne amal ka khoob hey radd e amal yahaan!
Bheejoo.N hoon phool aaye he pather jawaab main!

Is dasht e aarzo ke main us paar ja lagoon!
Kashti dikhae de koi ya rab saraab main!

In aabloo.N se paaon ke bhola hoon dard e hijr!
Ye khar e reh hain bais e rehmat azaab main!

Khalid Rawat

ghazal

Ghazal!
Husn tera ajeeb hey janaan
Mujze se qareeb he janaan!

Laal e yamni tere muqabil main!
Ik musafir ghareeb hey janaan!

Tu raqeeboon se jo mukhatib he!
Apna apna naseeb he Janaan!

Aasmaa.N bhi faqat usi ka he
Tu ke jis ka habeeb he janaan

Door tujh se he tu kamina he!
Paas jo he najeeb he janaan!

Jis ne sajda kiya tujhe her dam
Waqt ka wo naqeeb he Janaan!

Tere mehfil main aa sake na ham!
Apna apna apna naseeb he jaana!

Az Khalid Rawat!

ghazal

Ghazal!
Tera jalwa hi mujh ko kaafi ho!
Aur phir jo bhi ho izafi ho!

Ya mera dil he maar de yarab!
Ya mere ranj ki talafi ho!

Aankh bhi na uthe wahan se phir!
Saamne chashm ger ghalafi ho!

baaz aaon main Ishq se kaise?
Mujh ko is baat ki muaafi ho!

mere akhbaar e dil ko parh dale
Chashm e Nazuk ager sahafi ho!

Khalid Rawat!

nazm

Is zalzale ne maoo.N ki godai.N ujaar dee.N
Bachche yateem ker diye naslai.N ujaar dee.N

Ab koon be kasoo.N ke kifalat kare ga yaa.N
Is zalzale ne dost sabilain.N ujar dee.N

Mazdoor mere shehr ke barbad ho gae gae
Ik Shakhs ne gharib ki naslain ujaar dee.N

shehroo.N ke baat chooriye, ye dekhiye sitam
Is aafat-e- jahaan ne qabrai.N ujaar dee.N

Aaye wo mooj-e-hadsa is zalzale ke saath
Jis ne sabhi umeed ke kirnai.N ujaar dee.N

By: Khalid Jamil Rawat

Ali

Manqabat : hazrat Ali ki Shan main nazm

Waqt mushkil aa para he ya Ali mushkil kusha
Aap ka he aasra he ya Ali mushkil kusha

noor e haq ka ho ujaala zindagi ke raah main
aap se ye iltija he ya Ali mushkil kusha

tund he mooj e hawadis, khoof he toofan ka
hal talab ye masalaa he ya Ali mushkil kusha

aap ke der per pare hain le ke dil toota hua
zindagi be maajra he ya Ali Mushkil kusha

aap ki abro hile tu waqt ulta chal pare
aap ka wo martaba he ya Ali mushkil kusha

aap se he hey aqeedat, aap se he ishq he
aap ka he aasra he ya Ali mushkil kusha

khalid jamil rawat

ghazal

Ghazal!
Jalwa e husn Dekh ker ghash kha gayA he dil
Phir ru'be husn e yaar se ghabra Gaya he dil

Phir aarzo e wasl main Jalne laga he ishq
Saya e zulf e yaar pe phir aa Gaya he dil

Phir dil main husn e yaar ki jalne lagi shama
Phir loo e chashme yaar se kamhla gaya he dil

Aisa he husn e yaar ke poocho na doostoon
Apne he intakhaab pe itra Gaya he dil

Malik he wo jahan main husno jamaal Ka
Us rashk e kainaat pe bas aa Gaya he dil

Khalid rawat

ghazal

Ghazal!
dunya na din ki, he faqat yaar ki talab
koi talab nahin bajuz dildaar ki talab
aaya hoon der pe aap ke kuch kijye khyaal
maara hua hoon zeest ka he pyaar ki talab!
is zindagi ko moot ke qadmoon main daalne
phir le ke aa gae tere didaar ki talab!
darmandagi ko dil ke tera ishq kam tha kya
lahaq hue jo bar e roozgaar ki talab!
na naam! na namood! na hasti ! dil e tabah!
tus pe teri ye ghamza o rukhsaar ki talab!
Ab kis ne poochna he tujhe rah e ishq main
kerta he poori koon yaan nadaar ki talab!

ghazal

Ghazal!
Pi ker Sharaab ji mai.N jo aaya wo keh gae!
"Jo hooshmand the zulm pe khamoosh reh gae!"
Kitne he ham ne aap se dekhe jawan mard!
" Aae jo mooj e Hadisa Tinke se beh gae"
Utra jo aasmaan pe mera haseen chaand!
Tare falak pe le ke mun.h apna sa reh gae!
sail e rawaan e ishq ne sab kuch dabo diya
yaroo.N satoon e dil mere matti se deh gae!
Khalid Rawat!

ghazal

Ghazal:
Nasim-e-khak-e-arz-e-pak ki taseer badle ge
Ju ye badli tu phir halaat ki tasweer badle ge
Kaha tum ne, "mile ge na tumhai.N manzil kabhi apni!"
Badal de zaaicha pandit, meri taqdeer badle ge!
Tere rahoo.N ko tere khaab ki tabeer ne badla
Mere rahoo.N ko mere khaab ki tabeer badle ge
Kabhi tu bulbulai.N hoo.N ge chaman mai.N naghma Khaa.N Ya rab
Kabhi tu haalat-e-sad naala-e-shab gir badle ge!
Kabhi ham bhi zamane ki nazar mai.N mutabir hoo.N Ge
Hate Ge Gard-e-Aaina, Kabhi tasweer badle ge!
Chaman khil Jaee.N Ge zindaaniyoo.N ke waste her ja
Khusha! zanjir-e-gul se pair ke zanjeer badle ge!
Jo pinhaa.N khak mai.N hai.N soortai.N hoo.N gi numaayaa.N wo
Shaguft-e-gul se arz-e-paak ki taqdeer badle Ge!
Khalid Rawat

ghazal

Ghazal
Khwahish ke shararoo.N main bohut dair jala hoon
Ye aag bujhaane ki tago do main raha hoon!

Kate hain bohut sakht zamaane mere dil ne
Ik dushman e jaa.N se main baghal Gir raha hoo.N

Ab fursat e aaaraam mili he mere dil ko
Sehra e tamanna main bohut dair phira hoon!

Daman mera choota he jo panjey se hawas ke
main dil ki nigahoon se jahann dekh raha hoon

Pehle tha bohut boojh e tamanna mere dil pe
Is boojh se nikla hoo.N tu qadmoo.N pe khara hoo.N

khalid rawat
Ghazal
kuch gham nahin he ishq main ger maat ho gae
zinda jo bach gae tu bari baat ho gae!

guzra bohut he taiz yahaan zeest ka safar
kis ko khabar kab din dhala? Kab raat ho gae?

mayoosiyoon ne aaj phir choora hamara saath
phir zindagi se aaj mulaqaat ho gae

kar-e-muaash nazr-e-kharaabat ho gaya
fikr-e-muaash nazr-e-hadsaat ho gae!

aanchal dhalaa jo aap ka tu din nikal gaya
zulfain khulein jo aap ki tu raat ho gae

khalid jamil rawat

ghazal

پڑھتا ہوں جب نماز میں پروردگار کی! 
رکھتا ہوں دل کے سامنے تصویر یار کی! 

تم نے بھی تو بہار سا پھیرا تھا دل سے منہ؟
دل نے بھی پھر بہار کی چادر اتار دی !

اب کیا گلوں سے عشق کریں چہچہائیں ہم!
تم نے جفا کی تیغ ہی دل میں اتار دی!

بیٹھے ہو اپنے آپ سے بگڑے ہوئے کیوں آپ؟
اک شب جو خواب میں میرے تم نے گزار دی؟

میں نقد- جان آپ پہ واری کیا مگر !
تم نے نہ مجھ سے وصل کی چاہت ادھار کی!

خالد راوت!

eid mubarak

اے سطوتِ جاں، نورِ نظر عید مبارک
اے پارہء دل، لختِ جگر عید مبارک
اے تُکمہء خورشیدِ فلک، رفعتِ لولاک
اے رونقِ شب، جانِ سحر عید مبارک
اے ماہِ شبِ چار دہم عید مبارک
اے لیلیٰ ء افکار و ہنر عید مبارک
اے ہوش رُبا، دشمنِ ایمان مفصّل
اے باعثِ ہنگامِ حشر عید مبارک
اے پیکرِ گُل، نغمہء جاں، رشکِ زلیخا
اے نجمِ سحر، رشکِ قمر عید مبارک
اے غمزہءجاں تیری ہی زلفوں کی مہک سے
جاری ہے یہ خوشبو کا سفر، عید مبارک
اے جُرّاء مے، جانِ سبو، جوہرِ مینا
اےرہزنِ صد ہوش و خبر عید مبارک
ہم تک تو ابھی تک تیرا پیغام نہ آیا
تجھ کو ہی تہہِ دل سے مگر عید مبارک
اک بار کہا دل نہ بھرا تجھ کو کہیں گے
اے رشکِ خرد، بارِ دگر عید مبارک
خالد راوت

Ramzan Mubarak!

Ramzan Mubarak!
Sitara Sitara falak dekh dala
dikha na mager chaand ka ham ko haala!
mager chand ramzaan ka jab dikha tu
bohut mushkiloon se tha dil ko sanbhaala
Tumhain bhi mubarak! Sabhoon ko mubarak!
ke taarikyoon main hua phir ujaala!
falak pe he ramzaan ka chand aise
ke aanchal pe shab ke charaghaan ho jaise
haseenoon ke rukh pe ye ghaza ho jaise
Labe mooj e darya pe pyaasa ho jaise!
hamain yaad hain wo sahar ki tarangain
Wo anda paratha, wo chaye ka pyaala!
Wo ammi ki dantain, wo abba ki chahat
namaz e sahar ka wo madham ujaala!
Khalid Rawat

Friday, April 24, 2015

Ghazal

Ghazal
bin tumhare deed ke kis toor se zinda hoon main?
Jaa.N garafta hoon bohut hi dil paraganda hoon main!

Chain kyoon aata nahin he us ko bin dekhe hue?
kya shikar e panja e aasaib e nadeeda hoon main?

us ke pather dil pe koi bhi asar hoga nahin!
laakh hoon daman dareeda , laakh gham deeda hoon main!

kyoon nidamat ho mujhe jo us ko dekha be hijaab?
Ab talak tha kyoon na dekha? is pe sharminda hoon main!

Ye na tu mujh ko bata ke kyoon ayaa.N he kainaat!
Aye mere dil ye bata kyoon khud se poosheeda hoon main?

Aap he hoon raz e dunya, aap he "ho" "ha" hoon main!
Aye Ali Al Murtaza bas aap ka banda hoon main!

khalid jamil rawat

Thursday, March 06, 2014

Nazm: Sitare

Do sitare hai.N aasmanoo.N mai.N
Jin ki tabindagi misaali he

wo ye kehte hai.N teri aankhoo.N se
ham ko jana he aik mehfil mai.N

Ho sake tum se ger tu kuch lamhe
Jo jagah ham yaha.N se choorai.N ge

Is jagah tum zara chamak jana

Kiya ho ger nain teri in ki jagah
kuch zara deer ko chamak jai.N?

aur sitare , haseen rukh pe tere
ban ke aankhain teri theher jaye.N?
Kuch zara der waa.N pe ruk jaya.N?

Tere galoo.N ke zo fashani se
maand in ka jamaal par jaye
chaand chehre ki chandni ke tale
surkh par jayen sharm se tare

tujh se sekha he sab chiraghoon ne
rooshni ke libaas ma.N jalna

Khalid Jamil Rawat

ghazal

Likh Chuka Katib Fasana Jab mere Taqdeer ka
Yuu.N Kaha us ne," Ajab Mozo mila tehreer Ka?"

Ya dalil -e-fasl-e-gul mujh tak abhi aaye nahin!
Ya abhi tota nahin halqa mere zanjeer ka!

jee raha hoon us ki marzi pe , jhuka rakha he sir
dekhye hota he kya ab faisla taqdeer ka

wehm main dala he aisa yoon sitam ejaad ne
khwab he matlab he mere khwab ki tabeer ka

khalid jamil rawat



nazm

poem: unity

loog jab saath mil ke rehte hain
ranj-o-gham saath mil ke sehte hain
'Aik' hona ise ko kehte hain!...

aik darya ki sab he mojain hain
ik samandar ke sab he qatre hain
pyaar ki door main paroe hue
loog tasbeeh e haq ke dane hain!

koi kaala tu koi peela he
koi sasta he koi mehnga he

phir bhi sab aik ho ke rehte hain
husn-e-wehdat isi ko kehte hain

by

khalid Jamil Rawat

nazm


kalma haq ka parh parh tu ne jaag guzaari raatain
kaan pakae sab logoon ke ker ker deen ki batain

per na sikhaya dars e mohabbat khalq e khuda ku tu ne...
pyaar ke badle tu ne sikhaeen sab shaitaan ki ghaataain

aik khuda he , aik nabi he , aik khudai saari
choor tafarqa , choor de nafrat , choor burae saari

ishq he makka , ishq madina, ishq khuda ka gher he
kaam khudae ke hain saare ishq se jaari saari

by

khalid jamil rawat

ghazal

Shab-e-hijr shama ki lo ko bhi , mai.N ne aah-e-gham se bujha diya
meri hamsafer the ye chandni, so isi se ghar ko saja diya

yehi raat moonis-e-hijr the, isi chand mai.N koi shakl the
teri yaad mai.N mujhe chaa.Nd ne mere dil dewana bana diya

kabhi dekhna tujhe roo baro, kabhi dho.Ndna tujhe ko bako
teri deed ki talab ne doost, mujhe aath aanso rula diya

kisi aag mai.N wo tapish nahi.N , jo he ishq mai.N wo khalish nahi.N
Tere wasl mai.N bhi na ho ga wo, tere hijr ne jo maza diya

nahin fikr ham ko jaha.N ki, nahi.N khoof ham ko muaash ka
hamai.N jis hunar ki talaash the, wo tawangri ne sikha diya

Ghazal

Khalid Jamil Rawat
Main sharaabi hoo.N, ye bhi sahi, per ik dafa
Is sitamger ko bata do ye gila achcha nahi.N!

Jo nahi.N peta kabhi achcha samajhte ho use?
Jo zara peta rahe , us ko samajhte ho bura?

Ye kaha.N ki doosti he ke mujhe behter karo
Dushmani he ger mujhi se , tu mujhe achcha karo!

Mai.N nahi.N kehta zamane mai.N bohut achcha hoo.N mai.N
Per zamane se kisi nisbat bura bhi tu nahi.N

Jo nasihat ker rahi ho mai.N samajhta hoo.N use
Jo haqiqat keh rahi ho mai.N parakhta hoo.N use

Jis muhabbat ke fasane tum sunate ho mujhe
Is muhabbat ki haqiqat ko samajhne bhi lago!

He muhabbat ik dua yaani ise maanga karo
Jab kisi se dil lagao us se kiya shikwa karo?

Na sipaasi mai.N nahi.N khilti muhabbat ki kali
Be lihaazi ke aiwaz milte nahi.N aashiq kabhi

Tum haseena ho, bohut he bemisaal-o-la jawaab
ik nagina ho zamane mai.N faqat apni misaal

Tum nazar ke teer ke jis ko nishane per rakho
bach na pae wo tarapta he rahe misl-e-ghazaal

Tum ager keh do kise se tum ko mooti chahiyei.N
Tu samander ko he wo bas umr bher takta rahe

tum ager keh do kise se ke sitare chahiyei.N
wo sitaroo.N ke taraf ker ke nazar betha rahe


Tum mah-e-tabaa.N se barh ke ho darakhshaa.N aye sanam

Tum nigar-e-javidaa.N ho aye mere rashk-e-chaman

Ger kabhi ker lo irada tum chaman ke sair ka
Is qad-e-dilkash pe wari ho rahe sara chaman

Ger guloo.N se tum taqabul apni soorat ka karo
Ek taraf ho rukh tumhara ek taraf saara chaman

Tum se seekha he guloo.N ne dil churane ka hunar
Tum se jaari he zamane mai.N baharoo.N ka safar

Ab zara soocho, zara soocho , zara soocho sanam
kis bahane se nikaloo.N maikade se mai.N qadam?

Tum nahi.N hotee.N nazar ke saamne mere ager
Her saee jae akarat her dua ho be asar

Is judai ko mere jaan mai.N barat sakta nahi.N
mai kade se main kisi soorat palat sakta nahin

Main samajhta hoon ke bas main mae kashi kerta rahoon
lab se main pyaala laga ke ek taraf betha rahoon

Posted by khalid jamil rawat 

Wednesday, March 05, 2014

Nach Basanti Nach

Nach Basanti!

Baandh ke ghunghroo pair main apne
Naach basanti nach!
waqt ke gabbar ka kehna he
Lash pe matam kyoon kerte he?
lash tu tere bhi girni he!
choor ke matam, choor ke roona,

nach basanti nach!
moot ka tandav naach!
Naach basanti naach!

dard e dil ko geet bana ker
us ki dhun pe jism hila ker
shaakh-e-badan lachka lachka ker
Naach basanti nach!

Saans chale ge kab tak tere?
kab tak jaan bache ge tere?
waqt ke gabbar singh se bach ker
tu kitne din aur jiye ge?

jashn e moot mana aye basanti
jashn e moot mana!

nach basanti naach basanti naach!
jism hila ke pair hila ke,

shaakh-e-badan lachka lachka ke,

naach basanti nach!

Khalid Jamil Rawat