Tuesday, November 06, 2012

baqoole Pervaiz

Baqool-E-Pervaiz: ( According to Mr. Pervaiz)

Main azaad tha jab talak, khush bhi tha

mutmain tha , fasurda na tha,

Mere qehqahe se ulajh ker
takabbur ka pooda , diloo.N ke zamee.N chor deta-

Mager ab wo shokhi, khushi mujh mai.N baaqi nahi.N he!

Ke ab mai.N wo pehle sa pervaiz kab hoo.N?

maeeshat ki fikroo.N ne mujh se mere khush dili cheen le,

mai.N ho ke pareshaa.N maeeshat ke hathoo.N

Laga nookri per!

Mujhe ab wo fikr-e-maeeshat nahin he
mager mere aazaadiyaaN salb sab ho chuki haiN,

Sahi ko sahi , aur ghalat ko ghalat!
MaiN nahi.N bool Sakta,
Ke office mai.N is ke ijaazat nahin he!
Mere qeqahe munqata ho chuke haiN
Ke office main hansna mana he!
Isi waste mere rooshan khyaali
Siyaahi maiN dhalne lage he!

By : khalid Jamil Rawat

Sunday, October 07, 2012

Ghazal:

Sharaab pene ki hajat main sab hi jaa pohnche
Mili sharaab ki dawat tu sab hi aa pohnche

Jahaa.N mai.N saaqi ki jalwa giri jaha.N bhi hue
Uthaane minnatai.N saaqi ki sab bhi aa pohnche

Kabhi jo Chaand ho baarish ho ya ho sard hawa
 Tumhain sharaab mile ye mere dua pohnche

Laga ke jaam laboo.N se juda karai.N kyoo.N ker?
So aye sawaal tere teh talak bhi ja Pohnche


Khalid Jamil rawat







Sunday, July 08, 2012

Poem: Philosophy of Cricket

One who can attack alone,
And has his defensing powers weak,
Cannot survive for long amidst
the perils of a battle field

When battle cry resounds the field