Thursday, March 06, 2014

Nazm: Sitare

Do sitare hai.N aasmanoo.N mai.N
Jin ki tabindagi misaali he

wo ye kehte hai.N teri aankhoo.N se
ham ko jana he aik mehfil mai.N

Ho sake tum se ger tu kuch lamhe
Jo jagah ham yaha.N se choorai.N ge

Is jagah tum zara chamak jana

Kiya ho ger nain teri in ki jagah
kuch zara deer ko chamak jai.N?

aur sitare , haseen rukh pe tere
ban ke aankhain teri theher jaye.N?
Kuch zara der waa.N pe ruk jaya.N?

Tere galoo.N ke zo fashani se
maand in ka jamaal par jaye
chaand chehre ki chandni ke tale
surkh par jayen sharm se tare

tujh se sekha he sab chiraghoon ne
rooshni ke libaas ma.N jalna

Khalid Jamil Rawat

ghazal

Likh Chuka Katib Fasana Jab mere Taqdeer ka
Yuu.N Kaha us ne," Ajab Mozo mila tehreer Ka?"

Ya dalil -e-fasl-e-gul mujh tak abhi aaye nahin!
Ya abhi tota nahin halqa mere zanjeer ka!

jee raha hoon us ki marzi pe , jhuka rakha he sir
dekhye hota he kya ab faisla taqdeer ka

wehm main dala he aisa yoon sitam ejaad ne
khwab he matlab he mere khwab ki tabeer ka

khalid jamil rawat



nazm

poem: unity

loog jab saath mil ke rehte hain
ranj-o-gham saath mil ke sehte hain
'Aik' hona ise ko kehte hain!...

aik darya ki sab he mojain hain
ik samandar ke sab he qatre hain
pyaar ki door main paroe hue
loog tasbeeh e haq ke dane hain!

koi kaala tu koi peela he
koi sasta he koi mehnga he

phir bhi sab aik ho ke rehte hain
husn-e-wehdat isi ko kehte hain

by

khalid Jamil Rawat

nazm


kalma haq ka parh parh tu ne jaag guzaari raatain
kaan pakae sab logoon ke ker ker deen ki batain

per na sikhaya dars e mohabbat khalq e khuda ku tu ne...
pyaar ke badle tu ne sikhaeen sab shaitaan ki ghaataain

aik khuda he , aik nabi he , aik khudai saari
choor tafarqa , choor de nafrat , choor burae saari

ishq he makka , ishq madina, ishq khuda ka gher he
kaam khudae ke hain saare ishq se jaari saari

by

khalid jamil rawat

ghazal

Shab-e-hijr shama ki lo ko bhi , mai.N ne aah-e-gham se bujha diya
meri hamsafer the ye chandni, so isi se ghar ko saja diya

yehi raat moonis-e-hijr the, isi chand mai.N koi shakl the
teri yaad mai.N mujhe chaa.Nd ne mere dil dewana bana diya

kabhi dekhna tujhe roo baro, kabhi dho.Ndna tujhe ko bako
teri deed ki talab ne doost, mujhe aath aanso rula diya

kisi aag mai.N wo tapish nahi.N , jo he ishq mai.N wo khalish nahi.N
Tere wasl mai.N bhi na ho ga wo, tere hijr ne jo maza diya

nahin fikr ham ko jaha.N ki, nahi.N khoof ham ko muaash ka
hamai.N jis hunar ki talaash the, wo tawangri ne sikha diya

Ghazal

Khalid Jamil Rawat
Main sharaabi hoo.N, ye bhi sahi, per ik dafa
Is sitamger ko bata do ye gila achcha nahi.N!

Jo nahi.N peta kabhi achcha samajhte ho use?
Jo zara peta rahe , us ko samajhte ho bura?

Ye kaha.N ki doosti he ke mujhe behter karo
Dushmani he ger mujhi se , tu mujhe achcha karo!

Mai.N nahi.N kehta zamane mai.N bohut achcha hoo.N mai.N
Per zamane se kisi nisbat bura bhi tu nahi.N

Jo nasihat ker rahi ho mai.N samajhta hoo.N use
Jo haqiqat keh rahi ho mai.N parakhta hoo.N use

Jis muhabbat ke fasane tum sunate ho mujhe
Is muhabbat ki haqiqat ko samajhne bhi lago!

He muhabbat ik dua yaani ise maanga karo
Jab kisi se dil lagao us se kiya shikwa karo?

Na sipaasi mai.N nahi.N khilti muhabbat ki kali
Be lihaazi ke aiwaz milte nahi.N aashiq kabhi

Tum haseena ho, bohut he bemisaal-o-la jawaab
ik nagina ho zamane mai.N faqat apni misaal

Tum nazar ke teer ke jis ko nishane per rakho
bach na pae wo tarapta he rahe misl-e-ghazaal

Tum ager keh do kise se tum ko mooti chahiyei.N
Tu samander ko he wo bas umr bher takta rahe

tum ager keh do kise se ke sitare chahiyei.N
wo sitaroo.N ke taraf ker ke nazar betha rahe


Tum mah-e-tabaa.N se barh ke ho darakhshaa.N aye sanam

Tum nigar-e-javidaa.N ho aye mere rashk-e-chaman

Ger kabhi ker lo irada tum chaman ke sair ka
Is qad-e-dilkash pe wari ho rahe sara chaman

Ger guloo.N se tum taqabul apni soorat ka karo
Ek taraf ho rukh tumhara ek taraf saara chaman

Tum se seekha he guloo.N ne dil churane ka hunar
Tum se jaari he zamane mai.N baharoo.N ka safar

Ab zara soocho, zara soocho , zara soocho sanam
kis bahane se nikaloo.N maikade se mai.N qadam?

Tum nahi.N hotee.N nazar ke saamne mere ager
Her saee jae akarat her dua ho be asar

Is judai ko mere jaan mai.N barat sakta nahi.N
mai kade se main kisi soorat palat sakta nahin

Main samajhta hoon ke bas main mae kashi kerta rahoon
lab se main pyaala laga ke ek taraf betha rahoon

Posted by khalid jamil rawat 

Wednesday, March 05, 2014

Nach Basanti Nach

Nach Basanti!

Baandh ke ghunghroo pair main apne
Naach basanti nach!
waqt ke gabbar ka kehna he
Lash pe matam kyoon kerte he?
lash tu tere bhi girni he!
choor ke matam, choor ke roona,

nach basanti nach!
moot ka tandav naach!
Naach basanti naach!

dard e dil ko geet bana ker
us ki dhun pe jism hila ker
shaakh-e-badan lachka lachka ker
Naach basanti nach!

Saans chale ge kab tak tere?
kab tak jaan bache ge tere?
waqt ke gabbar singh se bach ker
tu kitne din aur jiye ge?

jashn e moot mana aye basanti
jashn e moot mana!

nach basanti naach basanti naach!
jism hila ke pair hila ke,

shaakh-e-badan lachka lachka ke,

naach basanti nach!

Khalid Jamil Rawat