Saturday, April 23, 2011

Nazm:Ta abad baqi rahe ge zoo fashani aag ki


Ta abad baqi rahe ge zoo fashani aag ki
Aag ke darya mai.N dekho tum rawaani aag ki

Naam ye duniya mita sakti nahi.N faras tera
Jawaadaa.N he lo tere aatish kade ki aag ki

Chaat jaye gi zabaa.N shooloo.N ki sab lashker tera
Tu bhala kab seh sake ga bad zabaani aag ki

Aabna-e-hurmuz-o-faras se jo uthta he subh
Haa.N nahin khurshid wo he ik nishani aag ki

Dekh le tareekh ke auraaq ko tu sarbasar
Aik aalam mai.N thi shuhrat khusrawaani aag ki

Sooch le, kuch sooch le, kuch dekh le oo bulhawas
Ab talak dekhi nahi.N tu ne jawaani aag ki

Zoo fashani: chamak
Jawadaa.N: eternal
Aatish kada: Parsi temple
Faras: Iran
Bulhawas: Laalchi , bad niyyat
Khusroo: Ancient Persian king who fough Greece
Aabna-e-hurmuzo faras: Persian gulf
KhurshiD: Suraj, Sun
[/quote]

No comments:

Blog Archive