Wednesday, April 20, 2011

Nazm : Inqilaab


makan-e-watan pe, maeshat ki chat he,
Maeshat ki chat pe baraste he doulat,
Mager chat se neche tapakti nahi.N he,


Makan-e-maeshat ki chat ke tale hai.N
Karooroo.N , Ghariboo.N ke ajsaam-e-murda.
Bilakte, sisikte, tarapte, tahi-dast bande,
Jinhai.N ik taka bhi mayasser nahi.N he,


Makan-e-maeshat ki chat pe hai.N umra,
Jinhai.N aish kerne se fursat nahi.N he,
Ye umra hakoomat ki bagai.N sanbhale,
Piye ja rahe hai.N lahoo baikasoo.N ka,




Ye bankoo.N mai.N rakhte hai.N qatre lahoo ke,
Nichoore hai.N jo be kasoo.N ke badan se,
Inhi se nikalte hai.N dolat ke dariya
jo doulat kadoo.N ko hai.N sairaab kerte, 
Mager piyaas se jaan deete , lab-e-dam,
Karooroo.N musafir,
Inhai.N dekhte hai.N ba-sad-yaaso-o-hasrat,
Ke sookhe laboo.N ko kahi.N tar he ker lai.N
Mager yaa.N lab-e-joo pe pehra karda he,
Yazidoo.N ka pehra bohut he kara he,




Ye dekhai.N ke kab tak ye pehra rahe ga,
Kabhi tu uthe ga, 




ager na utha tu , ye piyaasaa samander, ise toor de ga,
samajhta hoo.N mai.N ke , yahaa.N per
Bohut der tak na ye manzer rahe ga.


Khalid jamil Rawat

No comments:

Blog Archive