Friday, April 01, 2011

Ghazal: Pehle jo thi wo zindagi ki chaal ab nahin


Pehle jo thi wo zindagi ki chaal ab nahi.N
wo raat aur wo din wo maho saal ab nahi.N


ab kiya likhoon mai.N safha-e-ulfat pe haal e dil
muddat guzar gae! wo zaboo.N haal ab nahi.N


Uqda-e-zulf hal hua qismat se zehn-e-ishq
is makhmase main koi qil-o-qaal ab nahi.N


hain aur bhi ab rehzan-e-imaan o aagahi
kuch mae kashi ka khaas istimaal ab nahi.N


Khenchoo.N tumhari zulf he maatam ke waste
ke toorne ko sir pe koi baal ab nahi.N


Baar aawari pe jis ke tiki the muaash-e-ishq
khamdaar boojh-e-gul se wohi daal ab nahi.N 


kuch aur shehr-e-husn mai.N mai.N din guzarta
per kiya karoon girah mai.N meri maal ab nahi,N


kerta mai.N ehtajaj mager kiya karoo.n ke ab
taaqat nahi.N zabaa.N mai.N dil mai.N haal ab nahi.N


deedar-e-yaar baais-e-rang-e-chaman tha kal
tab ho gaya tha sharm se munh laal ab nahi.N


khalid jamil rawat

No comments:

Blog Archive