Thursday, April 21, 2011

Nazm: In darakhtoo.N se koi ye pooche


In darakhtoo.N se koi ye pooche
Kyoon khare hain udaas ratoon main
Aatishe gham se hijr mai.N jaise
koi tanha udaas jalta ho!


mai.N samajhta hoo.N in darakhtoo.N ki
kya kahani he kya haqiqat he
ye sabhi hijr ke samandar mai.N
door jate hue musafir hai.N


raqs kerte hue darakhtoo.N se 
mai.N ye chubhta sawaal kerta hoo.N
kiya khushi he tumhai.N jo hilte ho
dekh ke kis hasee.N ke chehre ko 
yoo.N machalte ho raqs kerte hoo?


phir mujhe ye samajh mai.N aa hi gaya
hijr ki her kathan musafat ka
khatma ger kabhi nahi.N mumkin
per ye aashiq tarash lete hai.n
apne mehboob ko khayaloo.N mai.N
aur phir jhomte hai.N masti mai.N
raqs kerte hai.N saaz pe gham ke


By: Khalid Jamil Rawat







No comments:

Blog Archive