Thursday, April 21, 2011

Nazm: India Pakistan

Ye kahani ager nahi.N bhai!
Maaf kerna mujhe mere bhai!

Per ye qissa tumhai.N sunata Hoo.N
Masalaa hind ka batata Hoo.

saadhu he hind ki dharti
jis ko laahaq he ek bemari

Is ka dayaa.N dimaagh hindustan
Is ka bayaa.N dimaagh pakistan

aik doje se aise larte hai.N
jaise dushman hoo.N aik doje ke

Ho gaya hind maansik roogi
Aaap ja ker kabhi atari pe

Ya kabhi wahga ke border se
dekhiye ke zamee.N tasalsul he

jis pe sarhad ajeeb lagti he-
Jis pe rukna palat ke aajana,

Wahga se na aage ja paana,
ya atari se he palat jaana-

ham ko zehni fatoor lagta he.

aik hisse ko doosre ka kabhi
 bhete bhete ager khayaal aaye

Tu ye aise use jhatakta he
 jaise sadhu ko apni pooja Mai.N

koi ganda khayaal aa jaye
aur pooj kharaab ho jaye!

Hind ke shamm-e-asia tha kabhi
Hind ke sab ka rahnuma tha kabhi

Shakhsiyat jab se but gaye iske
Ho gaya hind mansik roogi.

Khalid Jamil Rawat

No comments:

Blog Archive