Thursday, June 06, 2019

ghazal

Ghazal: 
Ye baat kitni khob he jaam e sharaab main!
Gardish se is ki umr lage naqsh aab main!

Aata nahin he sabr ke daman ko thaamna?
Dikhta nahin he aap ko kaanta gulaab main?

hote hain kitne kaam yaan kia kia bataon main?
fikr e wisaal e yaar rakhoon ger hisaab main!

Dhondo usi nazar main jahaan gum hue the aap!
Nahaq talaash kerte ho khud ko kitaab main!

Us zindagi ko aankh bher dekha tha aik roz!
Wo din gaya ke aaj tak jaan he azaab main!

Apne amal ka khoob hey radd e amal yahaan!
Bheejoo.N hoon phool aaye he pather jawaab main!

Is dasht e aarzo ke main us paar ja lagoon!
Kashti dikhae de koi ya rab saraab main!

In aabloo.N se paaon ke bhola hoon dard e hijr!
Ye khar e reh hain bais e rehmat azaab main!

Khalid Rawat

1 comment:

Unknown said...

great poetry