Saturday, November 17, 2007

Ghazal

Meri khabar tu lo ke mera haal he kharaab

Mujh per nazar karo ke mera haal he kharaab



Ho jaye tum ko na kahi.N jo kuch ke he mujhe

Mujh se pare raho ke mera haal he kharaab



Ju kuch bhi kaam kaaj hoo.N wo khud se hi karo

Mujh ko na kuch kaho ke mera haal he kharaab



Betha hoo.N tishna kaam buhat der se yaha.N

Mujh ko sharaab do ke mera haal he kharaab



Mil jae tum ko raah mai.N wo shakhs ger kabhi

Us se yahi kahoo ke mera haal he kharaab



Ann.Nkhoo.N mai.N mere hasrat-e-dedar bas gaye

Aaa ker mujhe milo ke mera haal he kharaab



Yaa tu tabib se kaho jaldi zara kare

Yaa phir dawa he do ke mera haal he kharaab

Ghazal

Bikta yaman ke laal ki qimat bhi he wajood
be qadr musht-e-khaak ki surat bhi he wajood

Jho.Nke hawa ke jis ko ura le gaye the kal
Wo raakh wo ghubar wo husrat bhi he wajood

Wo husn bhi wajood he jis per jami he aa.Nkh
AankhooN main jo basi he wo hasrat bhi he wajood

Maana se door sarhad-e-idraak se pare
Dill main jo aa basi he wo hairat bhi he wajood

Jis ka khayal-e-tifl main maana nahi.N koi
Us rait ke ghubar ki haalat bhi he wajood

Tukre hua jo aaina tu munkashif hua
Wehdat bhi he wajood tu kasrat bhi wajood

Goo.nji the jis mai.N raat gaye ik gudaaz chekh
Wo mukhtasar si khoof ki saa'at bhi he wajood

ghazal

Naa jawaa.N kali mai.N wo baat he na wo baat khilte gulaab mai.N
Jo lahoo ki surkhi se aa gae he khizaa.N ke zard shabaab mai.N

Kabhi aa yaha.N use dekhne jo khizaa.N ne rang-e-chaman kiya
Ke hua he surkh gulaab zard kahiN kahiN se shabaab mai.N

Ye mera shiaar na ban saka ke na daad doo.N tere husn ki
Tere hoo.Nt ger hai.N saraab se tu mai.N doob jaoo.N saraab main

Jo pilao saghar-e-chashm se tu mai.N may kada hi tayaag doo.N
Jo he kaifiyat tere aa.Nkh mai.N wo kahaa.N se laao.N sharaab main

Ke sana he teri mai.N ker sakooN so paro diye rag-e-jaan mai.N
Jo sitare sir basajood hai.N mere yaar teri janaab main

Mili jab se aankh se aankh he na hi ghar mila na dagar mili
Ke ajab hua mera haal he tere ishq-e-khana kharaab mai.N

Ghazal

Ab tak khizaa.N ki yaad mai.N jalta he ik diya
Roshan mere shaoorko rakhta he ik diya

Teri ajal ki phoonK ki taqat se bhi baeed
Ab tak kisi pahard per jalta he ik diya

Aye dushman-e-chiragh sun tujh se jahan mai.N
lene ko intiqaam sulagta he ik diya

Kerne he mujh ko rooshni apne diyaar mai.N
de de mujhe jo paas tu rakhta he ik diya

Daaman bacha le aag se a daae-e-ajal
Kha ker ajal ki phoo.Nk bharakta he ik diya

Munkir kisi bhi toor nahi.N hoo.N tera raqeeb
Dil mai.N tere bhi naam ka jalta he ik diya

Is dil ko ikhtalaaf nahin tujh se aye raqeeb
Tujh ko barah-e-shooq samajhta he ik diya

Ghazal

Nasim-e-khak-e-arz-e-pak ki taseer badle ge
Ju ye badle ge tu halaat ki tasweer badle ge

Kaha tum ne mile ge na mujhe manzil kabhi meri
Badal de zaaicha pandit, meri taqdeer badle ge

Tere rahoo.N ko tere khaab ki tabeer ne badla
Mere rahoo.N ko mere khaab ki tabeer badle ge

Kabhi tu bulbulai.N hoo.N ge chaman mai.N naghma Khaa.N Ya rab
Kabhi tu haalat-e-sad naala-e-shab gir badle ge

Kabhi ham bhi zamane ki nazar mai.N mutabir hoo.N Ge
Hate Ge Gard-e-Aaina, Kabhi tasweer badle ge

Chaman khil Jaee.N Ge zindaaniyoo.N ke waste her ja
Khusha, zanjir-e-gul se pair ke zanjeer badle ge

Jo pinhaa.N khak mai.N hai.N soortai.N hoo.N gi numaayaa.N wo
Shaguft-e-gul se arz-e-paak ki taqdeer badle Ge

Ghazal

Adam ki koi bhi le ker khabar nahi.N aaya
Gaya he jo bhi udhar , loot ker nahi.N aaya

Hazar saal mai.N ik baar bhi ye dar na khula
Hazaar saal se koi idhar nahi.N aaya

Koi nahi.N he yahaa.N tar-e-ankaboot bata
Gaya he koon yahaa.N se jo phir nahi.N aaya

Yahi.N pe aa ke kiya jo bhi kuch kiya peda
Mai.N aasmaa.N se liye bal-o-per nahi.N aaya

Mai.N mehvi ishq tha aisa diyar-e-hasti mai.N
Ke mujh ko fitna-e-mehsher nazar nahi.N aaya

The teergi he mere dil ke saamne aise
Ke waahame ke siwa kuch nazar nahi.N aaya

Malal tujh ko rahe ga safar pe jane ka
Ager tu ker ke ise mukhtasar nahi.N aaya

Ghazal

Use tu yaad yoo.N aye dil na ker dewaana waar
Ke tujh ko yaad wo aaye na phir dewaana waar

Tere talaash mai.N bhatke nazr dewaanaa waar
Tujhe talash kare be khaber dewaana waar

Nazar bhi aa ke tere justujoo mai.N phirti he
Mere nigah idher se udher dewaana waar

Tumhare husn ke sahil pe ishq ki mere
Patak rahi he koi mooj sir dewaana waar

Makan-e-dil ke bardi dair se aye jane jaha.N
baja rahi he tere yaad dar dewaana waar

Abhi nahi.N tu kabhi ye bhi ghis he jaye ga
Ragard raha hoo.N tere der pe sir dewaana waar

Buhut hi khushnuma lagte hai.N qadd-o-gaiso tere
Ajab nahi.N inhai.N chahoo.N ager dewaana waar

Utar ker mai.N tere dilnashin khat gil mai.N
Ghuma raha hoo.N kisi chak per dewaana waar

Badi ne pehle tu aawaaz ki mere qaboo
Ghuma de mehwar-e-asfal pe phir dewaana waar

Wo khoof tha meri wehshat bhari nigahoo.N main
Ke khalq bhag uthi dhek ker dewaanaa waar

Tamam shehr mai.N halchal macha ke jaye ga
Jo aa gaya tera wehshi idher diwaanaa waar

Abhi tu us ki gali se tujhe bulaya tha
Tu kiyoo.N yahaa.N pe chala aaya phir dewaana waar

Ghazal

Sada-e-ishq mujhe her jagah sunai de
her aik cheez mujhe juzw-e-kul dikhai de

khuda kare ye siyah raat tere aa.nchal ho
Dhale jo raat tu chehra tera dikhai de

Mai.N aik darya hoo.N jis ko hayat ki manzil
Samandaroo.N ke siwa aur na dikhai de

Ghazal

Aaaj he aaya junoo.N ba soorat-e-sail-e-rawaa.N
Dekh na nikle tere qadmoo.N se zanjer-e-garaa.N

Ta abad baqi rahai.N jo bhi tarashe hai.N sanam
Aur sijdoo.N ke jabinoo.N per rahai.N baqi nishaa.N

Dhaal de usko kisi bhi paiker-e-takhleeq mai.N
Dil mai.N tere bas gaya he jo khuda ban ke gumaa.N

Aik lamhe mai.N zamana ke taghayyur ke taee.N
rait ke ghar ki tarah banta bigardta he jaha.N

taba phir mayal ba sehra he mujhe kia he khaber
Le ke jaye ge mujhe uftaad ye meri kaha.N

Aaj phir deta he dastak phool pe dast-e-khizaa.N
Surkh rangat pe guloo.N ki dalne peele nishaa.N

ghazal

he khala is main.N muallaq ke khala mai.N he jaha.N
Muzmahil is main faza he ke faza mai.N he jaha.N

waqt ki ro mai.N behek ker ye ise tor na de
Aik piyale ki tarah dast-e-qaza mai.N he jaha.N

Kis ko maloom tere baad yaha.N kiya ho ga
Bas ye maloom hua he ke khala mai.N he jaha.N

Hoo, ka aalam he her ik simt yaha.N chaya hua
Mehve-e-aaraaish-e-rukh, manzil-e-la mai.N he jaha.N

Aks-e-taqdeer jhalakte he waha.N se , ke nihaa.N
Khatt-e-taqdeer tere rang-e-hina mai.N he jaha.N

Waqt ke saaz pe chera he jo naghma dil ne
Aik dharkan ki tarah us ki sada mai.N he jaha.N

Koon he kis mai.N sarayat ye khule ga kaise
He jaha.N mai.N ye khuda ya ke khuda mai.N he jaha.N

Ghazal

Aaam her giz na kabhi jalwa-e-janaa.N kerna
Husn tasweer ke parde mai.N hi uryaa.N kerna

Laag ho dil ke kahi.N deed pareshaa.N ho kahi.N
Aisi wehshat na kabhi ham se Ghazalaa.N kerna

Ho guzarna jo tera dasht ki tanhai se
Zarre zarre ko waha.N ja ke bayaabaa.N kerna

shab ki dehleez se le aana sitaroo.N ka ghubaar
Noor se us ke he rooshan ye shabistaa.N kerna

Us ko her giz na bataana ke junoo.N lahaq he
Us ke aage na kabhi chaak garebaa.N kerna

shola-e-shaam-o-sahar dil mai.N basa ker us se
Raat ki bazm ko aye yaar charaaghaa.N kerna

zehr taryaaq he her giz na batana us ko
Dard se choor na de dard ka darmaa.N kerna

Herf-e-anjaam ko aaghaaz batana us ko
ger tajussus ho tu aaghaaz ko unwaa.N kerna

Chaand nikle jo kabhi shab ki rida aurhe hue
Us ke chehre pe bhi zulfoo.N ko pareshaa.N kerna

Jaa mayassr na ager ho tu na kuch bhi kehna
Ju mile ja tu use masnad-e-shahaa.N kerna

us ko dene ko ager paas tere ho pather
Ker ke tadbeer use laal-e-badakhshaa.N kerna

kufr-e-hairat he baja phir bhi tre aage kabhi
Jab wo aaena bane chashm ko hairaa.N kerna

Ghazal

tere der ko na chore ga , tera sayal yahi.N per he
He jab tak saans sene mai.N tera ghayal yahi.N per he

Khara he der pe tere yaas-o-hasrat ki rida orhe
He jab tak deed ki hasrat tera syaal yahin per he

yahi.N khoon ho ke tapka he nigahoo.N se jigar us ka
Tumhare husn ka afsoo.N hua zayal yahi.N per he

Qarain ke rahe hai.N jaan dene he yahi.N us ko
Tabiyat marte marte tak faqat mayal yahi.N per he

parastish jis ki ker de ge khuda tujh ko zamane mai.N
tera wo manne wala tera qayal yahi.N per he

Ghazal

Jis shakl mai.N bhi husn ki wehdat dikhai de
Us mai.N dawam ki koi surat dikhai de

Jis ne tere jamal ko wehdat ata kari
Mujh ko kabhi aye kash wo qudrat dikhai de

aisa bhi koi kul he yaha.N jis ke sub hoo.N jus?
Jis mai.N na intishaar ki surat dikhai de?

Jo noor-e-lamaakn ko pather mai.N daal de
Paida kabhi wo haath mai.N hirfat dikhai de

Aazar tere butoo.N main nihaan he khuda ki zaat
Her naqsh husne yaar ki midhat dikhai de

Zarroo.N ko jis ne jord ker paida kiya ghubaar
aa.Nkhoo.N ko meri kaash wo quwwat dikhai de

Jis mai.N sanwar ke aati he tasweer-e-kainaat
Mujh ko kabhi aye kaash wo khilwat dikhai de

Paish-e-nazar he surat-e-hasti ko jo sada
Mujh ko us aainae ki bhi hairat dikhai de

Kiya choord doo.N khayal-e-baqa-e-dawaam ko
Ger mukhtasir he rabt ki muhlat dikhai de

Ya tu dikhai de mujhe, ya deed mai.N tere
Hayal jo ho gae he wo hujjat dikhai de

Saturday, November 10, 2007

ghazal 10-
Tujh pe khul jaye ke kiya he dil-e-bismil hona
Gar tere dil ko mayassar ho mera dil hona

Ker ke aaiena he is dil ko bata doo.N tujh ko
Tujh se aasaan nahi.N madd-e-muqabil hona

Kiya zaroori tha yaha.N sir ko patakne ke liye
Ishq ko mooj tere husn ko saahil hoona

Qeemat-e-deed ada kerne ko laazim he yahaa.N
Darmayaa.N husn-o-nazar ke koi mehmil hoona

Is ko banna tha kisi seena-e-bebaak ka dil
Kiya zaroori tha mere dil ko mera dil hoona

Husn ko chahiye ger ishq ke qaabil hoona
Chahiye dil mai.N bhi pehle sa wo kas bal hoona

Sun ke is dil ke kahaani ko hamesha ki tarah
Tujh ko hoona he ager tha to tha ghafil hoona

ghazal 11

Tere diyaar mai.N jo bhi kamal ko pohncha
Wo goya moot se bhi talkh haal ko pohncha

Ye rehguzar he yahaa.N jo koi bhi he aayaa
Wo payemaal hi kerne nihaal ko pohncha

Charha he jo bhi sitara yaha.N bulundi per
Wo tere hukm se waapas zawaal ko pohncha

wo khush gulu ke nawaa goonjti thi jis ki yahaan
BataaooN kiya mai.N bhala kaise haal ko poohncha

likha ke laayaa he zillat he wo muqaddar mai.N
Kisi bhi tarz ke jo yaa.N kamaal ko pohncha

Yahaa.N pe maskh he hote hai.N yaar naqsh-e-jamaal
tu kis diyaar mai.N auj-e-jamaal ko pohncha

ghazal 12-

sawaal ye tu nahi.N he ke kiya haqiqat he
Sawaal ye he ke kiya sach ki koi qimat he

Jo dikh rahi he wohi he haqiqat-e-mutliq
Jo saamne he mere bas wohi sadaaqat he

Theher gaya he jo mujh pe wahi he waqf-e-azab
Guzar rahi he jo dil per wohi qiyaamat he

jahaa.N se mawra bhi kiya koi haqiqat he
Ye janne ki hamai.N kiya koi zaroorat he


ghazal 13

Aabaad mai.N bhi zeest ke arzaa.N nagar mai.N tha
Kaa.Nta teri nigah ka jab tak jigar mai.N tha

Ab kiya kahai.N kisi se ke kiya kiya nazer mai.n tha
Sehra ka chand aakhr-e-shab ko safar mai.N tha

Raste pe baad-e-mai kashi parte na the qadam
Behad ajeeb sa nasha kal shab dager mai.N tha

Pehle pehel nazar jo mili tu na kuch hua
per shaiba sa ishq ka bar-e-digar mai.N tha

ghazal -14

khaber mili the yahi ke khaber koi bhi nahi.N
Gae the dekhne aaya nazar koi bhi nahi.N

Yehi laga ke tahi hai.N ye aasmaan-o-zami.N
Idher bhi koi nahi.N he udher koi bhi nahi.N

Tu kiya ye sach he ke koi wajood kuch bhi nahi.N?
Mera wajood he kiya , he ager koi bhi nahi.N

Buhut he door he dunya tere thikaane se
Teri talaash mai.N aaya idher koi bhi nahi.N

ghazal-15

mere habib tujhe meri kuch khaber hi nahi.N
mere fugha.N ka tere dil pe kuch asar hi nahin

Ye lafz jo mere sene ko cheer dete hai.N
Sama'atoo.N pe tere in ka kuch asar he nahi.N

Nazar se dekh chuka kehkashai.N mit te hue
so aaftaab ke dhalne ka koi dar he nahin

wo poochta he ke ab zakhm-e-jigar kaisa he
ke jaise aa.Nkh laho se jigar ke tar he nahin

kia he ishq ki be hooslagi mai.N jo ham ne
Safar he aisa ke aisa koi safar he nahi.N

ghazal 16

Mizaaj pursi ko meri sajan nahi.N aaye
Mai.N muntazir he raha gulbadan nahi.N aaye

Guloo.N ne bagh mai.N kooshish hazar ker dekhi
Pe mere yaar se un ko chalan nahi.N aaye

Khile hai.N jaise teri shakh-e-badan per janaa.N
Kisi bhi shaakh per aise saman nahi.N aaye

Bicha ke jaal pe saaN.soo.N ke oordh le is ko
Ju tere sir pe rida-e-kiran nahi.N aaye

ghazal 17

tahayyurat hai.N ajza-e-qissa-e-yousuf
Nigar khana he dunya-e-qissa-e-yousuf

biyaa.N he ja ba'ja yousuf ke husn ki babat
khafi he husn-e-zulekha-e-qissa-e-yousuf

Aziz-e-misr-o-zulaikha-o-daman-e-yousuf
Buhut he khub hai.N ajza-e-qissa-e-yousuf

Na aql se na hakoomat se na khudai se
Jure hai.N ishq se ajza-e-qissa-e-yousuf

Sahi tardap jo judai ki pir-e-kinaa.N ne
yahi he asl mai.N mimba-e-qissa-e-yousuf

Khuda jo saath chala qafle ke Kinaa.N se
Ye saath bhi he taqaza-e-qissa-e-yousuf

Qasas hazar kahe hai.N sukhanwaroo.N ne yaha.N
Nahi he koi bhi bala-e-qissa-e-yousuf

ghazal 19

lagta he aaj zakhm mere dil ke bhar gae
jo chardh gae the ashk ke darya uter gaye

ab kis taraf ko jata he sail-e-rawan-e-ashk
kuch kushtugan-e-shooq ye lene khaber gae

yousuf ne anaa.N tham le jo mulk-e-misr ke
bigrde hue naseeb bhi is ke sa.Nwar gae

mosa ne asaa maar ke do lakht kiya neel
darya ke paar khair se rewar uter gae

jab se gaya he haath se ye mulke sulemaan
sab loog cheethroon ki tarah se bikhar gae

bandi bana ke le gaya jin ko asur paal(king of assyria)
kuch bhi khaber nahi.N wo qabile kidher gae

marboot ker ke qoom ke ajza ko daaniyaal
sunte the jis watan ki kahani udher gae

ab do he reh gae hai.N qabile jahaa.N main
baqi khaber nahi.N he ke zinda hai.N mer gae