Saturday, November 17, 2007

ghazal

he khala is main.N muallaq ke khala mai.N he jaha.N
Muzmahil is main faza he ke faza mai.N he jaha.N

waqt ki ro mai.N behek ker ye ise tor na de
Aik piyale ki tarah dast-e-qaza mai.N he jaha.N

Kis ko maloom tere baad yaha.N kiya ho ga
Bas ye maloom hua he ke khala mai.N he jaha.N

Hoo, ka aalam he her ik simt yaha.N chaya hua
Mehve-e-aaraaish-e-rukh, manzil-e-la mai.N he jaha.N

Aks-e-taqdeer jhalakte he waha.N se , ke nihaa.N
Khatt-e-taqdeer tere rang-e-hina mai.N he jaha.N

Waqt ke saaz pe chera he jo naghma dil ne
Aik dharkan ki tarah us ki sada mai.N he jaha.N

Koon he kis mai.N sarayat ye khule ga kaise
He jaha.N mai.N ye khuda ya ke khuda mai.N he jaha.N

Ghazal

Aaam her giz na kabhi jalwa-e-janaa.N kerna
Husn tasweer ke parde mai.N hi uryaa.N kerna

Laag ho dil ke kahi.N deed pareshaa.N ho kahi.N
Aisi wehshat na kabhi ham se Ghazalaa.N kerna

Ho guzarna jo tera dasht ki tanhai se
Zarre zarre ko waha.N ja ke bayaabaa.N kerna

shab ki dehleez se le aana sitaroo.N ka ghubaar
Noor se us ke he rooshan ye shabistaa.N kerna

Us ko her giz na bataana ke junoo.N lahaq he
Us ke aage na kabhi chaak garebaa.N kerna

shola-e-shaam-o-sahar dil mai.N basa ker us se
Raat ki bazm ko aye yaar charaaghaa.N kerna

zehr taryaaq he her giz na batana us ko
Dard se choor na de dard ka darmaa.N kerna

Herf-e-anjaam ko aaghaaz batana us ko
ger tajussus ho tu aaghaaz ko unwaa.N kerna

Chaand nikle jo kabhi shab ki rida aurhe hue
Us ke chehre pe bhi zulfoo.N ko pareshaa.N kerna

Jaa mayassr na ager ho tu na kuch bhi kehna
Ju mile ja tu use masnad-e-shahaa.N kerna

us ko dene ko ager paas tere ho pather
Ker ke tadbeer use laal-e-badakhshaa.N kerna

kufr-e-hairat he baja phir bhi tre aage kabhi
Jab wo aaena bane chashm ko hairaa.N kerna

Ghazal

tere der ko na chore ga , tera sayal yahi.N per he
He jab tak saans sene mai.N tera ghayal yahi.N per he

Khara he der pe tere yaas-o-hasrat ki rida orhe
He jab tak deed ki hasrat tera syaal yahin per he

yahi.N khoon ho ke tapka he nigahoo.N se jigar us ka
Tumhare husn ka afsoo.N hua zayal yahi.N per he

Qarain ke rahe hai.N jaan dene he yahi.N us ko
Tabiyat marte marte tak faqat mayal yahi.N per he

parastish jis ki ker de ge khuda tujh ko zamane mai.N
tera wo manne wala tera qayal yahi.N per he

Ghazal

Jis shakl mai.N bhi husn ki wehdat dikhai de
Us mai.N dawam ki koi surat dikhai de

Jis ne tere jamal ko wehdat ata kari
Mujh ko kabhi aye kash wo qudrat dikhai de

aisa bhi koi kul he yaha.N jis ke sub hoo.N jus?
Jis mai.N na intishaar ki surat dikhai de?

Jo noor-e-lamaakn ko pather mai.N daal de
Paida kabhi wo haath mai.N hirfat dikhai de

Aazar tere butoo.N main nihaan he khuda ki zaat
Her naqsh husne yaar ki midhat dikhai de

Zarroo.N ko jis ne jord ker paida kiya ghubaar
aa.Nkhoo.N ko meri kaash wo quwwat dikhai de

Jis mai.N sanwar ke aati he tasweer-e-kainaat
Mujh ko kabhi aye kaash wo khilwat dikhai de

Paish-e-nazar he surat-e-hasti ko jo sada
Mujh ko us aainae ki bhi hairat dikhai de

Kiya choord doo.N khayal-e-baqa-e-dawaam ko
Ger mukhtasir he rabt ki muhlat dikhai de

Ya tu dikhai de mujhe, ya deed mai.N tere
Hayal jo ho gae he wo hujjat dikhai de

No comments: