Friday, February 15, 2008

ghazal

Noor ko zulmat-e-shab , shab ko charaaghaa.N bolai.N
Aur ji chahe tu zarre ko bayabaa.N bolai.N
Laal-o-gohar ko kabhi sang-e-faro maya kahai.N
aam pather ko kabhi laal-e-0badakhshaa.N bolai.N

Us ki aankhoo.N ko kabhi deeda-e-akhtar keh dai.N
Aur chahai.N tu unhai.N chashm-e-ghazalaa.N bolai.N
Jis ki qeemat he na ho us ki laga dai.N qeemat
Besh qeemat ko ager chahai.N tu arzaa.N bolai.N
Boldai.N bazm-e-charaaghaa.N ko kabhi weshat-e-shab
Dasht-e-wehshat ko kabhi bazm-e-charaaghaa.N bolai.N
Phool ko khar kahai.N ,khaar ko gulshan keh dai.N
Aur phir fasl-e-khizaa.N ko bhi baharaa.N bolain
Rafaatoo.N ko bhi kabhi qaar-e-muzallat keh dai.N
Tooti khatya ko kabhi masnad-e-shahaa.N bolai.N
Wadi-e-laala-o-gul ko bhi bayaabaa.N keh dai.N
Aaap chahai.N tu kharaabe ko gulistaan bolai.N
App taryaaq ko bhi zehr-e-hala hal bolai.N
Harf-e-shiree.N ko namak, dard ko darmaa.N bolai.N
Harf-e-aaghaaz ko anjaam-e-fasaana bolai.N
Harf-e-aakhir ko kabhi baab ka unwaa.N bolai.N
Dastaras mai.N jo na ho us ko kahai.N kunj-e-qafas
Jis pe bhete hoo.N use takht-e-sulaimaa.N bolai.N
Jo kabhi mil na sake us ko na kuch bhi kahiye
Jo mile us ko pari ro, shah-e-khoobaa.N bolai.N
Khalid jamil Rawat

No comments: