Friday, February 15, 2008

Aadmi naama

He aadmi he ishq yahaa.N aadmi khirad
Her shay ki aadmi he yahaa.N baandhta he had

Kerta he aadmi he yahaa.N aadmi ko rad
He aadmi he sail yahaa.N aadmi he zad

He mehw-e-fikr-e-farda-o-mashghool-e-fik-e-doosh
Bheta he aadmi he yahaa.N kho ke apne hoosh

He aadmi zawaal yahaa.N aadmi kamaal
He aadmi he ain yahaa.N aadmi misaal

He aadmi imaan yahaa.N aadmi yaqeen
He aadmi he raah roo aur aadmi he din

He aadmi he raanda-e-darbar-e-aizdi
He aadmi he jada-e-darbar-e-aizdi

He aadmi umeed yahaa.N aadmi he yaas
He aadmi he aks yahaa.N aadmi akaas

He aadmi he naafa-e-aaho-o-naqsh-e-paa
He aadmi he naaqis-o-kaamil ka raahnuma

He aadmi makeen yahaa.N aadmi makaan
Manzil bhi aadmi he yahaa.N aadmi nishaan

He aadmi he peer yahaa.N aadmi Mureed
Manzar bhi aadmi he yahaa.N aadmi he deed

He aadmi he geet yahaa.N aadmi he saaz
Seene mai.N kainaat ke he aadmi he raaz

Kerta he aadmi he yahaa.N aadmi pe raaj
He aadmi he takht yahaa.N aadmi he taaj

Aage khud apne aap se barhta he aadmi
Shanoo.N pe apne pair bhi rakhta he aadmi

Leta he apne aap se bahar ki bhi khaber
Rakhta he apni zaat pe bhi aadmi nazar

Masnad bhi aadmi he yahaa.N aadmi sanad
Kerta he aadmi he yahaa.N aadmi ko rad

Khalid Jamil Rawat

No comments: