Wednesday, December 28, 2011

Wo Suraj Kaha.N he?

Kaha.N ha wo Suraj?
Ke jis ke chamak se,
darakhshaa.N o tabaa.N hoo.N chehre
Wo suraj Kaha.N he,
Ke jis ke zia se,
Badan hoo.N tawana,
Ye murda badan , in pe lipte kafan,
qabih -o-boosida, ye kale kafan!
jinhain, cheethroo.N sa ura dain ge ham
garagjte, karakte, dabang qehqahoo.N se.
umeedoo.N ka suraj nikalne laga he
hansoo aur lotoo, zameen pe jahan per
biche hain mere zard suraj ke kirnai.N.
ye suraj nikal ke rahe ga,
jawaa.N ker lo apni umeedoo.N ki dunya,
ye larkoo.N ke dunya ye bachchoo.N ki dunya,
naya jism le ke nae jaan le ke,
chaloo taiz qadmoo.N se manzil ke janab,
chaloo raqs kerte, tharakte , machalte,
nae rasstoo.N per.

Khalid jamil rawat

No comments: