kehte hai.N ek shakhs tha unnes so aath(1908) mai.N
us ka na koi deen tha , mazahab koi na tha
Jab jalyaa.N wala bagh mai.N mare gae the loog
Us ne sab apni aankh se dekha wo waqia
aye sab us se poochne jo kuch hua wahan
kis ki khata thi kis ne kiya zulm tha waha.N
us ke bayaan se na pata chal saka unhain
hindu ke musalman ke angreez the ghalat
bas ye pata chala ke jo zalim tha , tha ghalat!
hairaan hue the loog ke he aadmi ajeeb
Is ka na koi deen he na koi qomiyat
poocha jo us se aap ka mazhab he kiya janab
kehne laga ke mujh ko mere baap ko kabhi
mazahab pe sochne ke bhi fursat nahi.N mili
ham loog umr bher yoo.N rahe kaam mai.N magan
mazahab pe ham kabhi bhi tawajja na de sake
so ye khaber nahin mujhe he deen kiya mera
lekin mujhe khaber he ke zalim kise kahoo.N
by khalid jamil rawat
No comments:
Post a Comment