bohut gham he hamai.N dil ka mager kis ko batai.N ham
yehi soocha he ke ab dard-e-dil ko bhool jayai.N ham
yaha.N tu sab he bachche hai.N khlono.N mai.N hai.N dil inke
inhai.N insaan ke babat bhala ab kya batai.N ham
ager chezoo.N se dil nikle tu wo dil ki taraf dekhe
ager dil ki taraf dekhe tu sair-e-dil karai.N ham
khilone he khilone hai.N yahai.N chezai.N he chezai.N
khilone ke dukaa.N mai.N ab bhala kya dil lagai.N ham
yahaa.N larkoo.N ke hathoo.N mai.N khilona ban gae hai.N bum
yehi behter he dar ker ab kahi.N ko bhaag jai.N ham
chalo yaroo.N kisi baligh nazar insaan ko dhondo
ke jis ke saath shamm-e-guftugo se lo lagai.N ham
Khalid Jamil Rawat
No comments:
Post a Comment