Is sitamger ko bata do ye gila achcha nahi.N!
Jo nahi.N peta kabhi achcha samajhte ho use?
Jo zara peta rahe , us ko samajhte ho bura?
Ye kaha.N ki doosti he ke mujhe behter karo
Dushmani he ger mujhi se , tu mujhe achcha karo!
Mai.N nahi.N kehta zamane mai.N bohut achcha hoo.N mai.N
Per zamane se kisi nisbat bura bhi tu nahi.N
Jo nasihat ker rahi ho mai.N samajhta hoo.N use
Jo haqiqat keh rahi mai.N parakhta hoo.N use
Jis muhabbat ke fasane tum sunate ho mujhe
Is muhabbat ki haqiqat ko samajhne bhi lago!
He muhabbat ik dua yaani ise maanga karo
Jab kisi se dil lagao is kiya shikwa karo?
Na sipaasi mai.N nahi.N khilti muhabbat ki kali
Be lihaazi ke aiwaz milte nahi.N aashiq kabhi
Tum haseena ho, bohut he bemisaal-o-la jawaab
ik nagina ho zamane mai.N faqat apni misaal
Tum nazar ke teer ke jis ko nishane per rakho
bach na pae wo tarapta he rahe misl-e-ghazaal
Tum ager keh do kise se tum ko mooti chahiyei.N
Tu samander ko he wo bas umr bher takta rahe
tum ager keh do kise se ke sitare chahiyei.N
wo sitaroo.N ke taraf ker ke nazar betha rahe
Tum mah-e-tabaa.N se barh ke ho darakhshaa.N aye sanam
Tum nigar-e-javidaa.N ho aye mere rashk-e-chaman
Ger kabhi ker lo irada tum chaman ke sair ka
Is qad-e-dilkash pe wari ho rahe sara chaman
Ger guloo.N se tum taqabul apni soorat ka karo
Ek taraf ho rukh tumhara ek taraf saara chaman
Tum se seekha he guloo.N ne dil churane ka hunar
Tum se jaari he zamane mai.N baharoo.N ka safar
Ab zara soocho, zara soocho , zara soocho sanam
kis bahane se nikaloo.N maikade se mai.N qadam?
Tum nahi.N hotee.N nazar ke saamne mere ager
Her sae jae akarat her dua ho be asar
Is judai ko mere jaan mai.N barat sakta nahi.N
mai kade se main kisi soorat palat sakta nahin
Main samajhta hoon ke bas main mae kashi kerta rahoon
lab se main pyaala laga ke ek taraf betha rahoon
No comments:
Post a Comment