Wo jo khamoosh sar-e-bazm-e-jahaa.N hota he
Us ke seene mai.N koi raaz nihaa.N hota he
Bazm-e-imkaa.N he nihaa.N gard-e-tajarbaat mai.N yoo.N
Jis tarah dasht pas-e-gard nihaa.N hoota he
Jhoot lagti he sara ser ye haqeeqat mujh ko
Mujh ko imkaa.N pe haqeeqat ka gumaa.N hota he
Sath-e-aaena se chat jay ager gard-e-yaqee.N
Tab he aaene pe imkaan ayaa.N hota he
Na ho paband-e-riwayat ye zabaa.N tab mumkin
Dasht-e-imkaan ki wusaat ka bayaa.N hota he
Jo ho mehdood nazar hadd-e-yaqee.N ke ander
Dasht-e-imkaa.N se use rabt kahaa.N hota he
Jis tarah gard-e-tayyaqqun mai.N haqaiq hai.N yahaa.N
Kiya koi gard mai.N aise bhi nihaa.N hota he?
Saaf khulta he nahi.N dil p eke ab kiya hooga
Aik khatka sa mager dil ko yahaa.N hota he
Jab ye ahssas –e-zayaa.N had se guzar jaata he
Aik ahsaas naya dil mai.N jawaa.N hota he
Kiyoo.N bharose pe tajerbe ke dawa kerte ho
Mujh se pooch tu sahi dard kahaa.N hota he
2-
Ye khaber nahi.N aye tamaashbee.N tera zawiya-e-nazar he kiya
Tere aa.Nkh ka he hadaf jahaa.N ,mere saadgi ko khaber he kiya
Tu parakh raha he mera wajood, tere aa.Nkh chahe jahaa.N pare
So jahaa.N tere ye nazar he ab, mujhe kiya khaber ke udher he kiya
Tere aa.Nkh mai.N jo he hurriyat , mere aagahi se baeed he
Tu tatoolta he kahaa.N mujhe mere aagahi ko khaber he kiya
Mere aa.Nkh jism mai.N dhondti , mere haath us ko tatoolte
Tere fatihaana nigah se hua aaj zer-o-zaber he kiya
Kiya jaise mujh ko he muntashir tere tere zawiya-e-nigah ne
Ye bata ke tere shaoor ko mere saadgi se hazar he kiya
3-
Yaqee.N ka boojh kamar per jo laadta he yahaa.N
Wo aap apne kamar ko he torta he yahaa.N
Tagaeyyuraat mere ilm ke haqeeqat hai.N
Her aik shay ka tasawwur badal chukka he yahaa.N
Abas laga he gumaa.N ke yaqeen hone se
Hua he job hi abhi tak jo ho raha he yahaa.N
Nahee.N hua he abhi jo usi ke he dunyaa
Jo ho chukka he use koon poochta he yahaa.N
Gumaa.N yaqee.N he yaqee.N aik khota sikka he
Gumaa.N ke haath yaqee.N qadr kho chukka he yahaa.N
Abhi jo he wo kabhi hoga ke nahi.N hoga
Yahaa.N pe he , ke nahi.N he , jo dikh raha he yahaa.N?
4-
Ishq ke jitney bhe anjaam yahaa.N mumkin the
Ho chuke dil pe jo alhaam yahaa.N mumkin the
Khul gaye dil pe mere ishq ke andaishoo.N mai.N
Jitne aaghaaz ke anjaam yahaa.N mumkin the
Dil tera per na mila gerche sabhi ker dekhe
Baab mai.N ishq ke jo kaam yahaa.N mumkin the
Aao veerana-e-hasti ko munawwar ker lai.N
Kab bhala aise subh-o- shaam yahaa.N mumkin the
Chorna na tha dar-e-yaar ko her giz tujh ko
Milne us shookh ke paighaam yahaa.N mumkin the
Husn tera jo yahaa.N aam kabhi ho jaata
Hone dastor-e-wafa aam yahaa.N mumkin the
Ho ka aalam he yahaa.N dil mai.N mere charoo.N taraf
Mit gaye mitne jo abhaam yahaa.N mumkin the
5-
Sawaal ye tu nahi.N he kya haqiqat he
Sawaal ye he ke kiya sah ki koi qeemat he
Guzar raha jo mujh per wohi he rooz-e-hisaab
Theher gae he jo dil per wohi qayamaat he
Sae mai.n jis ki guzar jaye faisle ki ghari
Wo ilm ilm nahi.N he mehez himaaqat he
Badan faraib tha so khak ho gaya jal ker
Sharar-e-ishq haqiqat tha? So salamat he?
Jaha.N se maawra bhi koi zaat he ke nahi.N
Ye jaanne ke hamai.N kiya koi zaroorat he?
Qaraar shoal-e-ulfat ne dil mai.N he pakra
Pighalti shamma ke jaise badan ki haalat he
Tu apne aap ke jalne ka khud tamaasha ker
Yahaa.N pe tujh ko mehez itni he ijaazat he
Ye lag saath mere khud ko bhi mita de ge
Ke is ko naam se hasti ke he adawaat he
Jo dikh rahe he wohi he haqeeqat-e-mutliq
Jo saamne he mere bas wohi sadaqat he
6
Sitam ke baa dab ik aur he sitam aage
Ye dekhiye ke he saaman kiya baham aage
Yaqee.N ki had mai.N ager hal ye masaala hota
Yaqee.N ki had se guzarta na ye qadam aage
Dikhe ge is mai.N bhala kab mujhe koi surat
Rakha he aap ne jo la ke jam-e-jam aage
Nahi.N karoo.N ga mai.N toba kabhi gunahoo.N se
Ghuta he toba bhi kerne se mera dam aage
Bahaao.N ashk-e-nidamat mai.N kiyoo.N nigahoo.N se
Hua he faida is ka bhi mujh ko kam aage
Friday, February 15, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment