Sunday, May 21, 2006

Ghazals

Dareche ko khula rakhna tera sayal yahin per he
Tabiyat gham ke mare ki faqat mayal yahin per he

Zara pather utha rakho mujhe sir aazmana he
Use bhi dekhlene do wo pather dil yahin per he

Sanam kese uthe ga jo tere pehlo main betha he
hayat-o-marg main uske jo he hayal yahin per he

Muhje kehta he ker ke qaid wo zulf-e-muattar main
Yahann tu aa nahin sakta gu tera dil yahin per he

Tu mujh se door ho jitna tujhe itna batadoon main
Tera aashiq yahin per he teri manzil yahin per he

Parastish ki teri jis ne sada jis ne tujhe pooja
Wo tera manne wala tera qa'il yahin per he

-2-

Likh chuka katib fasana jab meri taqdeer ka
Yoon kaha us ne 'ajab mozo mila tehrir ka'

Ya dalil-e-fasle-gul mujh tak abhi aaee nahin
Ya abhi tota nahin halqa meri zanjeer ka

Aaankh se aansoo chalakte hain sitaroon ki tarah
Raat ko dikhta he jab chandan teri tasweer ka

dhondne nikla tha aashiq us gali ka raasta
kho chuka khud ko tu paya aastana hir ka

kuch khabar leta nahin meri use maloom he
qad kabhi barhta nahin fitrak main nakhchir ka

3-

ta shawahid na rahain is per may'e gulfam ke
dho raha hoon dagh dhabbe jama-e-ahraam ke

may kashi jab ker chuke zam zam pe aashiq jam ke
na rahe marhoo-ne-minnat bada-e-gulfam ke

thi raqiboon ko zarorat is liye leta raha
ye mere tuhfe wagerna the tere kis kaam ke

jo guzarti ja rahi hain saatain un ki qasam
muntazir betha hain ham kab se tere paigham ke

4-
Sarw jaisi ju teri qamat he
Ftna-e-hashr he qiyamat he

Dil main apne nishat-e-ulfat ki
Aarzo her ghari salamat he

Sir mitane se jaye gi kaisi
Shaikh ke dil main jo nidamat he

Ishq ki aag bujh nahin sakti
Zindagi is ki ta qiyamat he

Uth gaya paas-e-waza dari he
Phir wahi koocha-e-malamat he

Tum haqiqat samajh rahe ho jise
Wo alamat ki bhi alamat he


3

A Poem on Politics in Pakistan

Ik Dafa ik Azim Jalse Main
Rehnuma qoom se mukhatib the
Mil gaye the khawas logoon main
Na wahan hifz na maratib the

Ke rahe the khuda kare ga tu
Chand taroon se ghar saja dein ge
Haq ada ker ke ham qiyadat ka
Ik naya aasaman bana dein ge

Mulk ki natawaan maishat se
bojh qarzoon kaham utarain ge
Aaasmano se torr ker tare
mang dharti ki ham sanwarein ge

Ham nigar-e-watan ke daman se
Dagh-e-ghurbat mita ke chorein ge
Jo hakoomat he aaj ghairoon ki
Us ko apna bana ke chorain ge

Ye suna tu kaha ghariboon ne
Ye kahani bohat purani he
Hum ko is ki jagah siyasat ki
Aik bipta nai sunani he

Janate hain ke her dafa jaise
Be kasaoon ka laho nichoro ge
Is dafa bhi wazir ban ke tum
Bus commission naye batoro ge

Daghe Ghurbat Mita nahin sakte
Tum hami ko mita ke choro ge
Na rahain ge ghareeb duniya main
Yoon gharibi mita ke choro ge

Ye suna tu chupa ke munh apna
Uth gaye waan se bermala leader
Surkhiyaan lag gain risaloon main
Aaj berham hue siwa leader

Jab ye poocha kisi sahafi ne
Aap jalse se kion chale aaye
Koon se kaam the jo duniya main
Is tarah aap ke gale aaye

Dekh ker ik nazar sahafi ko
Aise goya hue bare leader
Thi dafa aik so chawalis waan
Aur lago sadarati order

Is liye waan se ham chale aaye
Chorr ke jalsa gah chale aaye

4- The Indus

Aatishi aahoon se meri jal utha darya-e-Sindh
Ishq ke sehra main aa ker kho gaya darya-e-Sindh

Seedha Seedha aa raha tha per nigar-e-Sindh ki
Zulf-e-Paichan dekh ker bal kha gaya Darya-e-Sindh

Sabza-e-khat sa numayaan sher-e-sukker ho gaya
Aur labe Mehran ban ke khil utha Darya-e-Sindh

Wadi-e-Tibbet ke Mathe se Fawware ke tarah
Ay Khuda behta rahe yun hi sada darya-e-Sindh

Qudrat-e-haq ki alamat he arab sagar agar
He koi barsoon purana dewata darye-e-Sindh

In paharoon se uter ker Wadi-e-Mehran se
Ho ke ik aashiq dewaana mil gaya darya-e-Sindh

Raat bher sunte rahe mojoon ki ham sargooshiyaan
Aik anjani katha kehta raha darya-e-Sindh

Jur gaye Ravi, Chanab-o-Sutlaj-o-Jehlum Biyaas
Soye Manzil in ko phir le ker chala Darya-e-Sindh

Gulshan-e-multan tujh ko Fakhr he is per baja
Chand miloon tak raha mehmaan tera darya-e-Sindh

5-Sir-e-Mansoor ko jis ne qalam kia ho ga
Khud apne aap se lar lar ke wo mara hoga

Main soochta he nahin kon kar farma he
Ager ye dukh hain tu baais bhi kuch raha hoga

Abas kuraid he tujh ko nahin mile ga dil
tere firaq main jal ker ye bujh gaya hoga

mere habib jahan tu ne lab kushai ki
koi mara tu koi us jagah jia hoga

kisi ne fitna-e- mehsher tujhe kaha hoga
kisi ne dekh ker nam-e-khuda liya hoga

6-
Mizag pursi ko meri sajan nahin aaye
Main muntazir he raha gulbadan nahin aaye

Guloon ne bagh main kooshish hazar ker dekhi
pe mere yaar se un ko chalan nahin aaye

milain ge khak main mer ker yehi samajh aaya
bala se ham ko mayasse kafan nahin aaye

7-

Us husn ko uryaniyat main dekhna mumkin nahin
wo noor he jis se nazar ka saamna mumkin nahin

8-

Sabz ho dil ki zamin kaise nihale ishq se
Bekhudon heraan hain aashiq is sawal-e-ishq se

Jaa nahin sakti umeed-o-beem ke ye kashmakash
Dil tawaqqa bhi ager apni utha le ishq se

Tum najane wasl main the muztarib kis baat se
Main tu heraan he raha shab bhar kamal-e-ishq se

aik uljhan he rahe darpesh ham ko umr bhar
ya gham-e- duniya se uljhe ya wabal-e-ishq se

aik dafter khol rakha he dile anjaan ne
de raha he khird waloon ko hawale ishq se

manna mushkil tha kafir ka wal-e- baain-hama

us ko qayaal ker liya ham ne misaal-e-ishqse

phir raha hoon dar badr thukra ke pai takht ko

jur gai aaise mere qismat maal-e-ishq

9-

Ham ne dastor zamane ke nirale dekhe

jagte jete badan chirne wale dekhe

Ishq ke rah main ek khar na aaya apni

Na kabhi pair ke us ne mere chale dekhe

Ishq ke des main ik din na guzara aisa

Jis main parte na sanam jan ke lale dekhe

Dekhne wala tujhe dekh ke chahe he sada

Ker ke tasweer tujhe dil main basa le , dekhe

Phenk aaya hoon tre rah main dil ko apne

kaash ik baar ise tu bhi utha le ,dekhe

Kia main tareef karoon shehr ke jis main main ne

Saqi dekkha na mai naab ke piyale dekhe

koi masref hi mera us ko samajh aaye ga

koi kerke tu mujhe us ke hawale dekhe

10- Cyclone

Muddat hue nazara-e-toofa.N kiye hue

Sahil superde-khatra-e-toofa.N kiye hue

Bawar nahi.n tu dhek ke zinda hai.N kistarah

Basti ghariq-e-moja-e-toofa.N kiye hue

Yaroon pase ghubar koi behr-e-be-kara.N

He mojazan tahayya-e-toofa.N kiye hue

Khashak ho gaye yaha.N jitne the zoorwer

Khud ko harif-e-ghamza-e-toofa.N kiye hue

Arsa guzar gaya mujhe apne shaoor ko

Mehw-e-sada-e-naghma-e-toofan kiye hue

jo bach gaye the dhoop main jalne ke bawajood

bethe hai.N sir pe saya-e-toofa.N kiye hue

Ashk-e-rawaa.N ke josh se basti ke dedawer

Bethe hue hai.N wada-e-toofa.N kia hue

11. Train

Kharama.N kharama.N chali rail gari

he manzil ke janib barhi rail gari

ye dil ek patri he jis pe kabhi bhi

Ruki na tere roop ki rail gari

chale aao jaldi ke taition pe kab se

tumhari liye he khari rail gari

kare paar lehzoon main sehra-o-darya

ajab tez row he nai rail gari




No comments: