Wednesday, December 28, 2011

Naya door he ye nae he tamanna, nae hai.N iraade!

Naya door hey so nae hey tamanna , nae hai.N irade!
mager wo tasawwur abhi tak gumaa.N mai.N na aaya
ke jis ke tamanna mai.N daana hoo.N pagal.
Abhi tak wo husne-e-azal , wo qadar,wo nazarya,
ki jis ke talab mai.N ke jis ki ata se,
rawaa.N hey ye dunya, Dikha tu nahi.N hey!
Hmai.N hey ye ummeed khaab-e-sahar se
Kabhi jo uthain ge, tu ham deekh lai.N ge,
ke ubhra he sat-he- zehen pe kahi.N se,
kisi ki dua se, kisi ke ata se,
wo husn-e-tassawwur, wo aala nazarya,
jo rooh-e-rawaa.N hey sarayat hey sab mai.N!
wo her she ki asli haqiqat ke manind
Her ik she ke batin main he yoo.N sarayaat,
ke jaise hasinoo.N ke her ik ada mai.N
sarayat tabassum.
Hamai.N is nazarya-e-aala ke aise talab hey ke jaise,
kisi aashiq-e-dil garifta ko mehboob ki ho!
Hami.N is tasawwur se aise aqeedat hey jaise
kisi talibe-e-haq ko haq ki talab ho!
Hamain ab ye manzil nazar aa rahe hey,
hamai.N ye tasawwur samajh aa raha hey.
Hamain apna suraj nazar aa raha hey,
andherro.N ke peeche,Ujaaloo.N se pehle,
nazar aa raha hey, usi husn-e-awwal ka jalwa
Nazar aa raha he. Hamain phir wo suraj nazar aa raha .

Khalid Jamil Rawat

 

Wo Suraj Kaha.N he?

Kaha.N ha wo Suraj?
Ke jis ke chamak se,
darakhshaa.N o tabaa.N hoo.N chehre
Wo suraj Kaha.N he,
Ke jis ke zia se,
Badan hoo.N tawana,
Ye murda badan , in pe lipte kafan,
qabih -o-boosida, ye kale kafan!
jinhain, cheethroo.N sa ura dain ge ham
garagjte, karakte, dabang qehqahoo.N se.
umeedoo.N ka suraj nikalne laga he
hansoo aur lotoo, zameen pe jahan per
biche hain mere zard suraj ke kirnai.N.
ye suraj nikal ke rahe ga,
jawaa.N ker lo apni umeedoo.N ki dunya,
ye larkoo.N ke dunya ye bachchoo.N ki dunya,
naya jism le ke nae jaan le ke,
chaloo taiz qadmoo.N se manzil ke janab,
chaloo raqs kerte, tharakte , machalte,
nae rasstoo.N per.

Khalid jamil rawat