Wednesday, April 27, 2011

Ghazal: Mohammad Shah Rangeela


This poem is about Mughal Emperor Mohammad Shah, who was famous as Shah Rangeela. He was blamed for his bad character in the pages of history. This poem is written in his praise with the idea that he should be praised because he was a sign of the freedom of the subcontinentFall of the Mughal Empire. At least as compared to the foreign invaders , he was a better person. 

Batarz-e-shah-e-gadayaa.N tha shah rangeela
Watan tha kocha-e-rindaa.N tha shah rangeela

khizaa.N se sarf-e-nazar is liye hua mumkin
The khalq mast-e-baharaa.N tha shah rangeela

Kaho na kaam faqat mai’ kashi se tha usko
bawajh-e-masti-e-irfaa.N tha shah rangeela

Lahoo se dast-e-hawas ke miyaan-e-dast-o-chaman
barang-e-nook-e-mughilaa.N tha shah rangeela

lahoo se khalq ke daman na ker saka rangee.N
misaal-e-zakhm-e-shahidaa.N tha shah rangeela

shaoor-e-safha-e-ulfat se khalq thi rangee.N
Bawajhe shookhi-e-unwaa.N tha shah rangeela

Kabhi tha dhoop kabhi chaaoo.N tu kabhi sawan
Barang-e-rooz-e-baharaa.N tha shah rangeela

diyar-e-hind ki tareek shab ke seene mai.N
misaal-e-bazm-e-charaghaa.N tha shah rangeela

bata de mujh ko aye tareekha ke yahaa.N mashhoor
siyaah kiyoo.N he ager waa.N tha shah rangeela

Utaar phenka sar-e-aam parda-e-mehmil
The khalq deed ki khahaa.N ,tha shah rangeela

Aseer-e-zulf the sab loog door mai.N uske
Watan tha kocha-e-janaa.N , tha shah rangeela
A poem by Khalid Jamil Rawat

Tuesday, April 26, 2011

Tera Khayaal mujhe is chalan se aata he

 Tera Khayaal mujhe is chalan se aata he
Ke jaise sher koi dil ko Gudgudata he

tumhara naam nashe mai.N suna he yoo.N mai.N ne
Faza mai.N teer koi jaise sansanata he


Ghazal: Chupa Paya Nahi.N Munsif se Jab Taqseer Mai.N apni

Chupa Paya Nahi.N Munsif se Jab Taqseer Mai.N apni
Muqarrar ker ke khud he aa gaya tazeer mai.N apni

Mere Taqseer ne jab her kisi ke dil mai.N ja ker li
Utha ke chal diya basti se her tasweer mai.N apni

Suqum tehreer ka meri ayaa.N jab ho chuka sab per
Mita ke aa gaya dewaar se tehreer mai.N apni

Nahi.N ye tay khuli ya na khuli uryaniyat meri
Na ye ke choor ker bhaga tha kiyoo.N taqreer mai.N apni

Mere ik Khaab ne mujh ko batae ye mazamee.N hai.N
Ghazal ye khaab le ke aa gaya tabeer mai.N apni

By: Khalid jamil Rawat


Ghazal: Tabeer khwab-e-Ishq ki haasil na ker saka

Tabeer khwab-e-Ishq ki haasil na ker saka
Us ko daleel-e-shooq se qayal na ker saka

Girhai.N hazaar khool dee.N nakhun se aql ke
uqda tumhari zulf ka per hal na ker saka

Shab bher charaagh-e-deer sa jalne ke bawajood
ye chaa.Nd khud ko yaar sa kamil na ker saka

Manzil qareeb the meri lekin ba justujoo
kashti ko apni aazim-e-saahil na ker saka

Ho maa'zrat qabool ke mai.N aql ko kabhi
raste mai.N apne shooq ke hayal na ker saka

Afsoos paao.N rakhte he maqtal mai.N mer gaya
Mai.N imtihaan-e- bazoo-e-qatil na ker saka

By: Khalid jamil rawat 

Ghazal: Rehta he Mujh ko aap ka her Waqt Intizaar

Rehta he mujh ko aap ka her waqt intizaar
rakhta he meri aankh ko pal pal ye be qaraar

Ye  daagh dil ke jab mere mitne ke the qareeb
jaane kahaa.N se aa gae phir loot ker bahaar

Maloom he ke shooq ka anjaam he bura
per kya karoo.N jo saamne aye wo baar baar

Laya he mujh ko yaar ke der per junoon yoo.N
sir per ghubaar he mera daman he taar taar

By: Khalid jamil rawat

Nazm: Dukhoo.N Ka Samandar

Main.N Chala hoo.N bohut tere peche
Doobta he Kaha.N mere peche

Mai.N Samander se peeth kerta hoo.N
Aage aane se is ke darta hoo.N

Aye samandar mujhe bata ke tujhe
Isqadar yaad kis ki aate he?
Koon rakhta he muztarab tujh ko?
Yaad kis ki tujhe satati he?

Mai.N khara ho ke tere sahil per
Soochta hoo.N ke kya kahoo.N tujh se
Kis tareqe se teri takleefai.N
aye samandar pare karoo.N tujh se

Mai.N samander ke dukh bhala kaise
is ke maqsoom se juda ker doo.N
apne dil ko mai.N ab bhala kaise
Behr ke dukh mai.N mubtla ker doo.N

Is ke dukh mai.N nahi.N mita sakta
So chaloo aaj dostoo.N mai.N chalai.N
Rakh ke saghar ko darmayaa.N apne
Baat kuch ker ke ji ko behlai.N
Roonaqai.N zindagi ke le aai.N

By: Khalid jamil Rawat

Saturday, April 23, 2011

Ghazal: Sada-e-ishq mujhe her jagah sunai de


Sada-e-ishq mujhe her jagah sunai de
Her aik cheez yahan juzw-e-kul dikhai de

Khuda kare ye siyah raat ho tera aanchal
Dhale jo raat tu chehra tera dikhai de

main aik mooj hoon mujh ko hayat ka maqsad
Samandroon ke siwa aur kiya dikhai de

Ghazal: Darecha khool ke dekho tumhare dar pe aaya hoon


Darecha khool ke dekho tumhare dar pe aaya hoon
Kahi.N se jism ko apne bilaakhir khench laya hoon

Kahin aisa na ho mar jaon main dekhe bina tujh ko
So apne saath ik tasweer tere le ke aayaa hoon

Main jis ke pair choota hoon main khud hi wo bulandi hoon
Main apni chaaoon main betha hoon apne zer-e-saya hoon

Zubaan bijli ki jis ko chat jaye wo shajer hoon main
Main khud ko khak he kerne lab-e-badal tak aaya hoon

Mujhe in aasmaanoon se nahin he koi bhi matlab
Mujhe he piyaar dharti se ke main dharti ka jaya hoon

Nazm:Ta abad baqi rahe ge zoo fashani aag ki


Ta abad baqi rahe ge zoo fashani aag ki
Aag ke darya mai.N dekho tum rawaani aag ki

Naam ye duniya mita sakti nahi.N faras tera
Jawaadaa.N he lo tere aatish kade ki aag ki

Chaat jaye gi zabaa.N shooloo.N ki sab lashker tera
Tu bhala kab seh sake ga bad zabaani aag ki

Aabna-e-hurmuz-o-faras se jo uthta he subh
Haa.N nahin khurshid wo he ik nishani aag ki

Dekh le tareekh ke auraaq ko tu sarbasar
Aik aalam mai.N thi shuhrat khusrawaani aag ki

Sooch le, kuch sooch le, kuch dekh le oo bulhawas
Ab talak dekhi nahi.N tu ne jawaani aag ki

Zoo fashani: chamak
Jawadaa.N: eternal
Aatish kada: Parsi temple
Faras: Iran
Bulhawas: Laalchi , bad niyyat
Khusroo: Ancient Persian king who fough Greece
Aabna-e-hurmuzo faras: Persian gulf
KhurshiD: Suraj, Sun
[/quote]

Ghazal:Chale tu saath ager saath aasmaan chale


Chale tu saath ager saath aasmaan chale
Qadam ke saath mila ker qadam jahan chale

ager tu sair ko nikle kabhi gulistaa.N ke
Tu sir jhuka ke tere saath gulsitaan chale

Kabhi nazar jo teri aasmaa.N pe uth jaye
Zami.N pe waqt bohut ho ke meherabaan chale

Chupae phirta tha jo aastee.N mai.N tu khanjer
So wo bhi raaz khafi aaj tera jaan chale

Mile ju saath tera tu bawaqt-e-marg sanam
Badan se koi bhi hasrat na le ke jaan chale

Khafi: Chupa hua, hidden
Bawaqt-e-marg: Marte waqt, at the time of death

Khalid Jamil Rawat

Ghazal:mujhe he sabr ki aadat tujhe jafa ki he


mujhe he sabr ki aadat tujhe jafa ki he
So mujh ko unsiyat tujh se sanam bala ke he

Karoo.N tu kaise karoo.N aitbaar mai.N iska
Qasam uthai bhi tu ne sanam khuda ki he

Kisi ne maar ke khanger alag kiya he inhai.N
miyaan-e-ishq-o-khirad dushmani bala ki he

Kiya he jis ki sada ne asar tere dil per
Sada wo mere nahi.N mere hamnawa ki he

Tu saamne bhi ager hu tu deed mushkil he
Ke tere husn mai.N ye rooshni bala ki he

Abhi bhi haal mera he wohi mohabbat mai.N
Abhi bhi zakhm ko haajat kisi dawa ki he

Abhi bhi wehshatai.N saya figan hai.N sir pe mere
Abhi bhi ishq ko hasrat tere wafa ki he

Khalid Jamil Rawat

Thursday, April 21, 2011


mujhe he sabr ki aadat tujhe jafa ki he
So mujh ko unsiyat tujh se sanam bala ke he


Karoo.N tu kaise karoo.N aitbaar mai.N iska
Qasam uthai bhi tu ne sanam khuda ki he


Kisi ne maar ke khanger alag kiya he inhai.N
miyaan-e-ishq-o-khirad dushmani bala ki he


Kiya he jis ki sada ne asar tere dil per
Sada wo mere nahi.N mere hamnawa ki he


Tu saamne bhi ager hu tu deed mushkil he
Ke tere husn mai.N ye rooshni bala ki he


Abhi bhi haal mera he wohi mohabbat mai.N
Abhi bhi zakhm ko haajat kisi dawa ki he


Abhi bhi wehshatai.N saya figan hai.N sir pe mere
Abhi bhi ishq ko hasrat tere wafa ki he


Khalid Jamil Rawat

Ghazal: Jis qadar Paas tere aata hoo.N


JIS QADAR PAAS TERE AATA HOO.N
US QADAR DOOR HOOTA JAATA HOO.N

JIS QADAR DOOR TUJH SE JATAA HOO.N
US QADAR PAAS TUJH KO PAATA HOO.N

YAAD ZINDA RAHE TERI DIL MAI.N
IS LIYE TUJH SE DOOR JAATA HOO.N

APNI TANHAIYOO.N MAI.N JA KE KABHI
APNI TAKMEEL KER KE AATA HOO.N

SAATH HER WAQT KA NAHI.N ACHA
IS LIYE KHUD KO BHOOL JAATA HOO.N

KHALID JAMIL RAWAT

Nazm: Machine


JIS JAGAH DEKHIYE MACHINAI.N HAI.N
AUR BANDOO.N KE PAAS KAAM NAHI.N


JIS TARAF DEKHIYE TARAQQI HE
PHIR BHI ROOZI YAHA.N PE AAM NAHI.N


BAS CHALE GER MERA TU MAI.N YAA.N PER
NEHR AISI YAHA.N PE KHUDWAOO.N


JIS MAI.N HATHOO.N SE KAAM HO SAARA
NA MACHINOO.N KO KAAM MAI.N LAOO.N


LAAKH DO LAAKH LA KE KAARI-GER
KAAM SAARA UNHI SE KARWAOO.N


JIS KO AATA HO KAAM JAISA BHI
US SE WAISA HE KAAM KERWAOO.N


LOOG HATHOO.N SE SARA KAAM KARAI.N
NA KOI KAAM HOO MACHINOO.N SE


TAA KE ROOTI UNHAI.N BHI MIL JAYE
BHOOKE BETHE HAI.N JO MAHINOO.N SE


KHALID JAMIL RAWAT






Ghazal: Kab dil ko ham ne waqf-e-tamanna na kiya tha


Kab dil ko ham ne waqf-e-tamanna na kiya tha
Tab se kiya tha jab shroo chalna na kiya tha

Jaise kiya he haalat-e-dil ko mere bai kul
Ye haal tu ne ishq kisi ka na kiya tha

Ham ko Tu khud kalamiyoo.N se kam sanam tha
Rasta sukhan ka aap se jab wa na kiya tha


Be kaif he the zindagi majnoo.N ki qasam se
Jab tak ke khud ko aashiq-e-laila na kiya tha

Yousuf ke husn ka koi chracha na hua tha
Jab tak ke aam haal-e-zlaikha na kiya tha

Jab tak tumhare husn ka fitna na utha tha
Tab tak khuda ne hashr ka waada na kiya tha

Khalid Jamil Rawat

A Voice From the East: The Poetry of Iqbal

Ghazal: He bar-e-aakhri jo tere aastaa.N pe Hai.N


He bar-e-aakhri jo tere aastaa.N pe hai.N
Phir jald dekhiyo ga ke wari butaa.N pe hai.N

Shayed ye aashiyaa.N ko jala ker he lai.N ge dam
Ye bijliyaa.N se koondti jo aasmaa.N pe hain

Badle he rooz rooz nai shakl zindagi
Kar-e-hayat naqsh joo.N aab-e-rawaa.N pe hai.N

He khastagi yehi ke bacha koi sach nahi.N
Qayam yaha.N wahi hai.N jo qayam gumaa.N pe hai.N

Ik such ki umr aaj yahaa.N khatm ho chalee
saye muheeb saya figan aashiyaa.N pe hai.N

Jis raah pe chale the kahan rah wo rahe
Kya janiye ke haath yaa.N kis ke anaa.N pe hai.N

Khalid Jamil Rawat

[/quote]

Nazm: Aik na katkhada hasina he


Aik na kadkhada hasina he
Jis ko kehte hai.N loog Sachchai
Us talak wo hi bas pohanch paya
Jis ko thi ishq se shanasai
Is hasina ke hai.N kai chehre
waqt pardah he is hasina ka
koi chehra he haal mai.N pinhaa.N
Koi chehra chupa he maazi mai.N
he kisi per naqab-e-mustaqbil


Is hasina ke laakh  chehre hai.N
Tum ko ger zooq he muhabbat ka
Ger tumhai.N taab he nazzaroo.N ki
raah pe ishq ki chale aao 
Tum ko paani ager he sachchai




By Khalid Jamil Rawat


Na katkhada: Jis ko kisi ne na chua ho, yet untouched, spinster
[/quote]

Mirza Ghalib: Complete SetAye parind-e-fikr, tera aastana jal gaya
Thak ke jis ja bethta tha wo thikana jal gaya

qaid ker lete the jis ke bal pe tujh ko sher mai.N
Sooch ke panchi mere wo tazyaana jal gaya

jaal lafzoo.N ka bichate the jaha.N tere liye
Tair-e-fikr-e-rasa wo aashiyana jal gaya

sard mohri kha gai duniya ki shakh-e-jism ko
bulbul-e-idraak tera aab-o-dana jal gaya

Khalid Jamil Rawat

Ghazal: Hua maqtool pe qatil ka he tujh ko shubah munsif?


Hua maqtool pe qatil ka he tujh ko shubah munsif?
tere insaaf teri aql ko kya ho gaya munsif?


hua he zang aaena koi mujh ko ye batlaye?
ke mai.N soorat kaha.N dekhoo.N,na ho ger aaena munsif?


Bina parkhe hi tu ne maan le jhoti gawahi kyoo.N
ye tera farz tha ke baat ko tu toolta munsif


tujhe ab tak na aaya aag mai.N insaaf ki jalna
kabhi sooli pe apne faisloo.N ki tu charha munsif?


suna he ham ne ke insaaf ki aankhai.N nahi.N hotee.N
mager ye kiya ke doolat dekh ker andha hua munsif


dua itni he ke apne tarazo ki tu ker izzat
yehi teri haqiqat he yehi tera khuda munsif


By. Khalid Jamil Rawat

Nazm: In darakhtoo.N se koi ye pooche


In darakhtoo.N se koi ye pooche
Kyoon khare hain udaas ratoon main
Aatishe gham se hijr mai.N jaise
koi tanha udaas jalta ho!


mai.N samajhta hoo.N in darakhtoo.N ki
kya kahani he kya haqiqat he
ye sabhi hijr ke samandar mai.N
door jate hue musafir hai.N


raqs kerte hue darakhtoo.N se 
mai.N ye chubhta sawaal kerta hoo.N
kiya khushi he tumhai.N jo hilte ho
dekh ke kis hasee.N ke chehre ko 
yoo.N machalte ho raqs kerte hoo?


phir mujhe ye samajh mai.N aa hi gaya
hijr ki her kathan musafat ka
khatma ger kabhi nahi.N mumkin
per ye aashiq tarash lete hai.n
apne mehboob ko khayaloo.N mai.N
aur phir jhomte hai.N masti mai.N
raqs kerte hai.N saaz pe gham ke


By: Khalid Jamil Rawat







Ghazal:


Kiya karoo.N kiya na karoo.N kuch samagh aata nahi.N
door he nazroo.N se lekin dil se wo jaata nahi.N

He fazoo.N ter tujh se he sab roonaq-o-rang-e-chaman
tu wahaa.N jata nahi.N to koi gul khilta nahi.N

Ye samajh sakta tha ke milna tera dushwaar tha
Per bina kooshish kiye mujh ko maza milta nahi.n

Sunta tha mai.N waaz-e-jannat , go kahi.N ka tazkira
Mai.N nahi.N sunta ager gher se tere milta nahi.N

Khhak bhi hoota , hazimat bhi uthata tha wahaa.N
Khoof-e-khud rai se he gher ko tere jata nahi.N

Haalat-e-dil janne ko jan-e-jaanaa.N peshraft
Tu nahi.N kerta to mujh ko hoosla hota nahi.N

Khalid Jamil Rawat


Ghazal: Aise tu kabhi gher ye tah-e-aab na aaya


aise tu kabhi gher ye tahe aab na aaya
aansoo tu bahe per kabhi sailaab na aaya


aaya tha mera dil ye haseenoo.N pe go pehla
ho ker pe kabhi aise ye baitaab na aaya


Is dil mai.N rahi.N hijr ke tarikiyaa.N akser
hasrat he rahi per mera mehtaab na aaya


By: Khalid jamil Rawat

Ghazal: Email Tujhe Rooz Jo Kerta tha wo Mai.N tha


 E-mail tujhe rooz jo kerta tha wo mai.N tha
Jo shakhs tere hijr mai.N jalta tha wo mai.N tha

Ratoo.N ki udaasi mai.N kisi saye ki manind
Google pe tujhe search jo kerta tha wo mai.N tha

Chatting ke liye tujh se aye gumnaam hasina
Betaab messanger pe jo phirta tha wo mai.N tha

Na tujh ko khaber the na zamane ko yaqee.N tha
Be tarha tujhe piyaar jo kerta tha wo mai.N tha

Ashkoo.N se kabhi khon-e-jigar se kabhi dil se
Rangee.N jo tere husn ko rakhta tha wo mai.N tha

Tujh ko ye khaber he na hue sham-e-faroozaa.N

Parwana tere lo mai.N jo jalta tha wo mai.N tha

Khalid Jamil Rawat 

Nazm: India Pakistan

Ye kahani ager nahi.N bhai!
Maaf kerna mujhe mere bhai!

Per ye qissa tumhai.N sunata Hoo.N
Masalaa hind ka batata Hoo.

saadhu he hind ki dharti
jis ko laahaq he ek bemari

Is ka dayaa.N dimaagh hindustan
Is ka bayaa.N dimaagh pakistan

aik doje se aise larte hai.N
jaise dushman hoo.N aik doje ke

Ho gaya hind maansik roogi
Aaap ja ker kabhi atari pe

Ya kabhi wahga ke border se
dekhiye ke zamee.N tasalsul he

jis pe sarhad ajeeb lagti he-
Jis pe rukna palat ke aajana,

Wahga se na aage ja paana,
ya atari se he palat jaana-

ham ko zehni fatoor lagta he.

aik hisse ko doosre ka kabhi
 bhete bhete ager khayaal aaye

Tu ye aise use jhatakta he
 jaise sadhu ko apni pooja Mai.N

koi ganda khayaal aa jaye
aur pooj kharaab ho jaye!

Hind ke shamm-e-asia tha kabhi
Hind ke sab ka rahnuma tha kabhi

Shakhsiyat jab se but gaye iske
Ho gaya hind mansik roogi.

Khalid Jamil Rawat

Nazm: Jalyaa.N Wala Bagh


kehte hai.N ek shakhs tha unnes so aath(1908) mai.N
us ka na koi deen tha , mazahab koi na tha


Jab jalyaa.N wala bagh mai.N mare gae the loog
Us ne sab apni aankh se dekha wo waqia


aye sab us se poochne jo kuch hua wahan 
kis ki khata thi kis ne kiya zulm tha waha.N


us ke bayaan se na pata chal saka unhain
hindu ke musalman ke angreez the ghalat


bas ye pata chala ke jo zalim tha , tha ghalat!


hairaan hue the loog ke he aadmi ajeeb
Is ka na koi deen he na koi qomiyat 


poocha jo us se aap ka mazhab he kiya janab
kehne laga ke mujh ko mere baap ko kabhi 
mazahab pe sochne ke bhi fursat nahi.N mili


ham loog umr bher yoo.N rahe kaam mai.N magan
mazahab pe ham kabhi bhi tawajja na de sake


so ye khaber nahin mujhe he deen kiya mera
lekin mujhe khaber he ke zalim kise kahoo.N


by khalid jamil rawat








Nazm: Ho gaya Hind Jis Ghari Taqseem


Ho gaya hind jis ghari Taqseem
Dekhte dekhte laho ke jagah
Is ke zakhmoo.N se loog behne lage


Loog beh beh ke ban gae darya
aik darya nikal ke dilly se
shehr-e-lahoor ke hadoo.N ko chala
Aik darya nikal ke Pindi se
hoo ke lahoor se chala dilli


Raste mai.N kai jagah in Mai.N
Aur nehrai.N giree.N the logoo.N ki


Aise lagta tha jaise ye darya
jaise nikle the waise he shayad 
apni manzil pe ja ke thehrai.N ge


per hua yoo.N ke raste mai.N inhai.n
aag mai.N khoon mai.N dabooya gaya
In ke qatre lahoo ugalte rahe
loog logooN ke haath merte rahe


Wo himala ke good ke paley
Jo the apne watan ke rakhwaley
Apne he gher ke ho gaye dushman
Gher ke tukre hazaar ker dale


By. Khalid jamil rawat

































Wednesday, April 20, 2011

Ghazal: wo jo kehte hai.N ke sach sab he kitaboo.N mai.N likha

wo jo kehte hai.N ke sach sab he kitaboo.N mai.N likha
Un se keh do ke wo sach he jo mere dil ne kaha


sach wo murjhaya hua phool nhai.N he jo tujhe
in kita boo.N mai.N mile, sach he tere dil ki sada


sach tu ye he ke ye dunya he koi dhoka he
ye wo dhoka he jo shahoo.N ne faqiroo.N ko diya


Sach tu ye he ke mohabbat mai.N tere aye hamdam
dil ne nafrat ka kai baar sahara he liya


Sach tu ye he ke muhabbat mai.N wo rahai.N mai.N chunoo.N
Jin pe chalna kabhi is dil ne gawara na kiya




By: Khalid jamil rawat

Nazm: Zalzala

Is zalzale ne maoo.N ki godai.N ujaar dee.N
Bachche yateem ker diye naslai.N ujaar dee.N


Ab koon be kasoo.N ke kifalat kare ga yaa.N
Is zalzale ne sab he sabilain.N ujar dee.N


Mazdoor kankun sabhi dharti mai.N dha.Ns gae
Hilti hue zameen ne faslai.N ujaar dee.N


shehroo.N ke baat chooriye, ye dekhiye sitam
Is aafat-e- jahaan ne qabrai.N ujaar dee.N


Aaye wo mooj-e-hadsa is zalzale ke saath
Jis ne sabhi umeed ke kirnai.N ujaar dee.N


By: Khalid Jamil Rawat

Ghazal: Tum mujhe jitna satao , jisqadar ruswa kara

Tum mujhe jitna satao , jisqadar ruswa karo
Per mere khwahish he mujh se rabta rakhkha karo


Na zabaa.N samjho hamari, na kabhi kholo zabaa.N
Per khamooshi se sukhan ka wa koi rusta karo


Kya maraz tha kya dawa ki? aye muaalij kya kiya?
kya zaroori tha ke mere zakhm ko achcha karo?


kya zabaa.N bandi ka haasil? kya maa'l-e-khamoshi?
Baat ho koi bhi dil mai.N ber mala boola karo


Roonaq-e-masjid siwa he, aaj he band mae kada
jumma ke din ke liye thori bacha rkhkha karo!


By. Khalid Jamil Rawat

Nazm : Inqilaab


makan-e-watan pe, maeshat ki chat he,
Maeshat ki chat pe baraste he doulat,
Mager chat se neche tapakti nahi.N he,


Makan-e-maeshat ki chat ke tale hai.N
Karooroo.N , Ghariboo.N ke ajsaam-e-murda.
Bilakte, sisikte, tarapte, tahi-dast bande,
Jinhai.N ik taka bhi mayasser nahi.N he,


Makan-e-maeshat ki chat pe hai.N umra,
Jinhai.N aish kerne se fursat nahi.N he,
Ye umra hakoomat ki bagai.N sanbhale,
Piye ja rahe hai.N lahoo baikasoo.N ka,




Ye bankoo.N mai.N rakhte hai.N qatre lahoo ke,
Nichoore hai.N jo be kasoo.N ke badan se,
Inhi se nikalte hai.N dolat ke dariya
jo doulat kadoo.N ko hai.N sairaab kerte, 
Mager piyaas se jaan deete , lab-e-dam,
Karooroo.N musafir,
Inhai.N dekhte hai.N ba-sad-yaaso-o-hasrat,
Ke sookhe laboo.N ko kahi.N tar he ker lai.N
Mager yaa.N lab-e-joo pe pehra karda he,
Yazidoo.N ka pehra bohut he kara he,




Ye dekhai.N ke kab tak ye pehra rahe ga,
Kabhi tu uthe ga, 




ager na utha tu , ye piyaasaa samander, ise toor de ga,
samajhta hoo.N mai.N ke , yahaa.N per
Bohut der tak na ye manzer rahe ga.


Khalid jamil Rawat

Ghazal:Husn ka raaz mere dil pe ager khul jaye


Husn ka raaz mere dil pe ager khul jaye
tu mere dil se jihalat ka asar dhul jaye


Wo jo aa jaye mere gher, tu mai.N bister se uthoo.N
mere tun se ye udasi, ye tasahul jaye!


Ye tu soota he nahi.N laakh sulaya is ko
Tum sula dekho , kahi.N tum se ager 'Sul' jaye?


us ki annkhain hai.N ke jaise koi saghar gehra
aur abro ! jaise saghar se koi pul jaye


Lakh sochoo.N ke karoo.N sabr mager kiya hasil!
Yaad wo aaye tu sab dil se tahummul jaye


Jann de ker he kharede tu kharede koi
Tu wo mooti he jo bazaar se 'unmul' jaye


Dekh le ger tere chehre ko muqabil gul ke
aah-o-faryaad bhi kerne se wo bulbul jaye


ham ko rehna he yahai.N sir ko patakna he yahee.N
Jis ko kaa'be se muhabbat he wo bilkul jaye


Mai.n bhi manoo.N hee khda halat-e-dil se waqif
door ger dil se sanam ke ye taghaful jaye




Khalid jamil Rawat



Tuesday, April 12, 2011

ghazal: Tujh ko Na samajhna he, he tujhe samajh jana

Tujh ko na samajhna he , hey tujhe samajh jana
na dikhae dena he , hey tera nazar aana


Aik wo bhi nukta he , aik wo bhi manzil he
jis pe ghair mumkin hey aql se pohanch pana


Aql ger na ho aajiz , dil ager no ho qayal
phir bhala ho kiyoo.N mumkin shukre-rab-baja laana


Tu  he awwal-o-aakhir, tu he zahiro-batin
tujh se he hey hona bhi , tujh se he hey na hona


Raat ki siyahi se kiyoo.N na doo.N use nisbat
Munhasir he dhalne pe zulf ke sehar aana


By. Khalid jamil Rawat

Thursday, April 07, 2011

Ghazal:Shab-e-hijr shama ki lo ko bhi , mai.N ne aah-e-gham se bujha diya


Shab-e-hijr shama ki lo ko bhi , mai.N ne aah-e-gham se bujha diya
meri hamsafer the ye chandni, so isi se ghar ko saja diya


yehi raat moonis-e-hijr the, isi chand mai.N koi shakl the
teri yaad mai.N mujhe chaa.Nd ne mere dil dewana bana diya


kabhi dekhna tujhe roo baro, kabhi dho.Ndna tujhe ko bako
teri deed ki talab ne doost, mujhe aath aanso rula diya


kisi aag mai.N wo tapish nahi.N , jo he ishq mai.N wo khalish nahi.N
Tere wasl mai.N bhi na ho ga wo, tere hijr ne jo maza diya


nahin fikr ham ko jaha.N ki, nahi.N khoof ham ko muaash ka
hamai.N jis hunar ki talaash the, wo tawangri ne sikha diya


Ghazal 


Khalid Jamil Rawat

Friday, April 01, 2011

Ghazal: Pehle jo thi wo zindagi ki chaal ab nahin


Pehle jo thi wo zindagi ki chaal ab nahi.N
wo raat aur wo din wo maho saal ab nahi.N


ab kiya likhoon mai.N safha-e-ulfat pe haal e dil
muddat guzar gae! wo zaboo.N haal ab nahi.N


Uqda-e-zulf hal hua qismat se zehn-e-ishq
is makhmase main koi qil-o-qaal ab nahi.N


hain aur bhi ab rehzan-e-imaan o aagahi
kuch mae kashi ka khaas istimaal ab nahi.N


Khenchoo.N tumhari zulf he maatam ke waste
ke toorne ko sir pe koi baal ab nahi.N


Baar aawari pe jis ke tiki the muaash-e-ishq
khamdaar boojh-e-gul se wohi daal ab nahi.N 


kuch aur shehr-e-husn mai.N mai.N din guzarta
per kiya karoon girah mai.N meri maal ab nahi,N


kerta mai.N ehtajaj mager kiya karoo.n ke ab
taaqat nahi.N zabaa.N mai.N dil mai.N haal ab nahi.N


deedar-e-yaar baais-e-rang-e-chaman tha kal
tab ho gaya tha sharm se munh laal ab nahi.N


khalid jamil rawat

Blog Archive