Wednesday, June 21, 2006

Beauty

Lohe jahan pe likhe gae the hazar lafz
Likhne ka lafz lafz ke pe dhang aur tha
Auraq zindagi ke mere saamne the aaj
The naqsh mukhtalif tu kahin rang aur tha

Kitni hi dastanain qalamkar ne likhin
jin ko mitate rehna bhi is ki sarasht the

Kitne he shehjahan yaan aaye guzar gae
Is aasmaan ki ranjishen koi na seh saka
Kitne hakim shaier o sufi guzar gae
Lekin ye raaz-e-zindagi koi na keh saka

Lekin ajeeb baat he mere liye sanam
Tera haseen chehra baqa-e-dawaam he
Ye saadagi ada ki tri aur ye baankpan
Taryaq aagahi ka he nisyaan ka jaam he

Main jab bhi dekhta hoon tere lab ki dilkashi
Lagta hai yun ke hain kisi maikash ki ye dua
In mast khu nigahoon ki masti hai kia ghazab
Lagta hai yun ke apni hi masti pe hain khafa

Yazdaan tere qalam se nafas sad hazar rang
Mumkin ye he ke khama tera mai se ho bhara
Mumkin ye hai ke hafiz-e-mushrab ka ho khayal
mumkin he ye khayyam ke payale ki ho sada

jo kuch bhi ho mager ye mera naqsh-e-be-sabaat
markaz bana he jab bhi tere iltafat ka
Masti main tere roop ki yun kho gaya ke phir
Khadsha nahin raha ise apne sabaat ka